us hasin ke KHayal mein rahna
us hasīñ ke ḳhayāl meñ rahnā
ālam-e-be-misāl meñ rahnā
kab talak ruuh ke parinde kā
ek miTTī ke jaal meñ rahnā
ab yahī naġhmagī kī nudrat hai
sur meñ rahnā na taal meñ rahnā
be-asar kar gayā hai vaa.iz ko
har ghaḌī qīl-o-qāl meñ rahnā
'anvar' us ne na maiñ ne chhoḌā hai
apne apne ḳhayāl meñ rahnā
us hasin ke KHayal mein rahna
aalam-e-be-misal mein rahna
kab talak ruh ke parinde ka
ek miTTi ke jal mein rahna
ab yahi naghmagi ki nudrat hai
sur mein rahna na tal mein rahna
be-asar kar gaya hai waiz ko
har ghaDi qil-o-qal mein rahna
'anwar' us ne na main ne chhoDa hai
apne apne KHayal mein rahna
- Book : ik daraicha ik chirag (Pg. 57)
- Author : ANWAR MASOOD
- Publication : Dost Publications (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.