us ka naqsha ek be-tartib afsane ka tha
us kā naqsha ek be-tartīb afsāne kā thā
ye tamāshā thā yā koī ḳhvāb dīvāne kā thā
saare kirdāroñ meñ be-rishta ta.alluq thā koī
un kī be-hoshī meñ ġham sā hosh aa jaane kā thā
ishq kyā ham ne kiyā āvārgī ke ahd meñ
ik jatan bechainiyoñ se dil ko bahlāne kā thā
ḳhvāhisheñ haiñ ghar se bāhar duur jaane kī bahut
shauq lekin dil meñ vāpas lauT kar aane kā thā
le gayā dil ko jo us mahfil kī shab maiñ ai 'munīr'
us hasīñ kā bazm meñ andāz sharmāne kā thā
us ka naqsha ek be-tartib afsane ka tha
ye tamasha tha ya koi KHwab diwane ka tha
sare kirdaron mein be-rishta talluq tha koi
un ki be-hoshi mein gham sa hosh aa jaane ka tha
ishq kya hum ne kiya aawargi ke ahd mein
ek jatan bechainiyon se dil ko bahlane ka tha
KHwahishen hain ghar se bahar dur jaane ki bahut
shauq lekin dil mein wapas lauT kar aane ka tha
le gaya dil ko jo us mahfil ki shab main ai 'munir'
us hasin ka bazm mein andaz sharmane ka tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.