uske lahje ka wo utar chaDhao
us ke lahje kā vo utaar chaḌhāo
raat kī narm rau nadī kā bahāo
us kī āñkhoñ ke vasf kyā likkhūñ
jaise ḳhvāboñ kā be-karāñ Thahrāo
un nigāhoñ kī guftugū meñ hai
niind meñ gum havāoñ kā uljhāo
us badan kī nazākateñ mat pūchh
shīsha-e-gul meñ chāñd kā lahrāo
niind kī vādiyoñ meñ pichhle pahar
ek lai ek naġhma ek alaao
aisī tanhā.ī kā mudāvā kyā
saat dariyāoñ meñ akelī naav
un laboñ kī vo bosa bosa uThān
aur palkoñ kā nashsha nashsha jhukāo
us galī us dayār kī ḳhush-bū
ai subuk-sair narm-gām havāo
naujavānī meñ maut kī ḳhvāhish
tum hī samjhā sako to kuchh samjhāo
jaane vo ġhuncha kis chaman kā hai
jis meñ gum hai bahār kā phailāo
raat kahtī hai mujh ko pyaar se dekh
mujh meñ hai chashm-e-yār kā gahrāo
shola-e-jāñ hai bujhne ko 'jāved'
aur dil meñ dahak rahā hai alaao
us ke lahje ka wo utar chaDhao
raat ki narm rau nadi ka bahao
us ki aankhon ke wasf kya likkhun
jaise KHwabon ka be-karan Thahrao
un nigahon ki guftugu mein hai
nind mein gum hawaon ka uljhao
us badan ki nazakaten mat puchh
shisha-e-gul mein chand ka lahrao
nind ki wadiyon mein pichhle pahar
ek lai ek naghma ek alao
aisi tanhai ka mudawa kya
sat dariyaon mein akeli naw
un labon ki wo bosa bosa uThan
aur palkon ka nashsha nashsha jhukao
us gali us dayar ki KHush-bu
ai subuk-sair narm-gam hawao
naujawani mein maut ki KHwahish
tum hi samjha sako to kuchh samjhao
jaane wo ghuncha kis chaman ka hai
jis mein gum hai bahaar ka phailao
raat kahti hai mujh ko pyar se dekh
mujh mein hai chashm-e-yar ka gahrao
shola-e-jaan hai bujhne ko 'jawed'
aur dil mein dahak raha hai alao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.