Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

uski dhun mein har taraf bhaga kiya dauDa kiya

Krishn Bihari Noor

uski dhun mein har taraf bhaga kiya dauDa kiya

Krishn Bihari Noor

us dhun meñ har taraf bhāgā kiyā dauḌā kiyā

ek buuñd amrit ḳhātir maiñ samundar gayā

ik taraf qānūn hai aur ik taraf insān hai

ḳhatm hotā nahīñ jurm-o-sazā silsila

avval-o-āḳhir ke kuchh aurāq milte nahīñ

hai kitāb-e-zindagī be-ibtidā be-intihā

phuul meñ rañgat bhī thī ḳhushbū bhī thī aur husn bhī

us ne āvāzeñ to diiñ lekin kahāñ maiñ sun sakā

maiñ to chhoTā huuñ jhukā dūñgā kabhī bhī apnā sar

sab baḌe ye tai to kar leñ kaun hai sab se baḌā

jaise an-dekhe ujāle koī dīvār ho

band ho jaatā hai kuchh duurī pe har ik rāstā

husn-o-ulfat donoñ haiñ ab ek sat.h par magar

ā.ina-dar-ā.īna bas ā.ina-dar-ā.īna

jab na mujh se ban sakī us tak rasā.ī sabīl

ek din maiñ ḳhud apne rāste se haT gayā

zindābād ai dil mire maiñ bhī huuñ tujh se muttafiq

pyaar sachchā hai to phir kaisī vafā kaisī jafā

haañ magar tasdīq meñ umreñ guzar jaatī haiñ 'nūr'

kuchh na kuchh rahtā hai sab ko apnī manzil patā

us ki dhun mein har taraf bhaga kiya dauDa kiya

ek bund amrit ki KHatir main samundar pi gaya

ek taraf qanun hai aur ek taraf insan hai

KHatm hota hi nahin jurm-o-saza ka silsila

awwal-o-aKHir ke kuchh auraq milte hi nahin

hai kitab-e-zindagi be-ibtida be-intiha

phul mein rangat bhi thi KHushbu bhi thi aur husn bhi

us ne aawazen to din lekin kahan main sun saka

main to chhoTa hun jhuka dunga kabhi bhi apna sar

sab baDe ye tai to kar len kaun hai sab se baDa

jaise an-dekhe ujale ki koi diwar ho

band ho jata hai kuchh duri pe har ek rasta

husn-o-ulfat donon hain ab ek sath par magar

aaina-dar-aina bas aaina-dar-aina

jab na mujh se ban saki us tak rasai ki sabil

ek din main KHud hi apne raste se haT gaya

zindabaad ai dil mere main bhi hun tujh se muttafiq

pyar sachcha hai to phir kaisi wafa kaisi jafa

han magar tasdiq mein umren guzar jati hain 'nur'

kuchh na kuchh rahta hai sab ko apni manzil ka pata

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now