us se kah do ki wo jafa na kare
us se kah do ki vo jafā na kare
kahīñ mujh sā use ḳhudā na kare
aa.ina dekh kar ġhurūr fuzūl
baat vo kar jo dūsrā na kare
maiñ masīhā use samajhtā huuñ
jo mire dard kī davā na kare
'muztar' us ne savāl-e-ulfat par
kis adā se kahā ḳhudā na kare
us se kah do ki wo jafa na kare
kahin mujh sa use KHuda na kare
aaina dekh kar ghurur fuzul
baat wo kar jo dusra na kare
main masiha use samajhta hun
jo mere dard ki dawa na kare
'muztar' us ne sawal-e-ulfat par
kis ada se kaha KHuda na kare
- Book : Khirman (Part-1) (Pg. 257)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Javed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.