Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhe malal bhi uski taraf se hota hai

Mohsin Asrar

mujhe malal bhi uski taraf se hota hai

Mohsin Asrar

MORE BYMohsin Asrar

    mujhe malāl bhī us taraf se hotā hai

    magar ye haal bhī us taraf se hotā hai

    maiñ TūTtā bhī huuñ aur ḳhud juḌ bhī jaatā huuñ

    ki ye kamāl bhī us taraf se hotā hai

    pukārtā bhī vahī hai mujhe safar ke liye

    safar muhāl bhī us taraf se hotā hai

    javāb detā hai mere har ik savāl vo

    magar savāl bhī us taraf se hotā hai

    vo mere haal se mujh ko be-ḳhabar kar de

    ye ehtimāl bhī us taraf se hotā hai

    maiñ us ke hijr meñ kyuuñ TuuT kar nahīñ royā

    ye ik savāl bhī us taraf se hotā hai

    jab āgahī mujhe gumrāh kartī hai 'mohsin'

    junūñ bahāl bhī us taraf se hotā hai

    mujhe malal bhi us ki taraf se hota hai

    magar ye haal bhi us ki taraf se hota hai

    main TuTta bhi hun aur KHud hi juD bhi jata hun

    ki ye kamal bhi us ki taraf se hota hai

    pukarta bhi wahi hai mujhe safar ke liye

    safar muhaal bhi us ki taraf se hota hai

    jawab deta hai mere har ek sawal ka wo

    magar sawal bhi us ki taraf se hota hai

    wo mere haal se mujh ko hi be-KHabar kar de

    ye ehtimal bhi us ki taraf se hota hai

    main us ke hijr mein kyun TuT kar nahin roya

    ye ek sawal bhi us ki taraf se hota hai

    jab aagahi mujhe gumrah karti hai 'mohsin'

    junun bahaal bhi us ki taraf se hota hai

    Source :
    • Book : shor bhi sannata bhi (rekhta website) (Pg. 118)

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now