Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phirte hain kab se dar-ba-dar ab is nagar ab us nagar ek dusre ke ham-safar main aur meri aawargi

Javed Akhtar

phirte hain kab se dar-ba-dar ab is nagar ab us nagar ek dusre ke ham-safar main aur meri aawargi

Javed Akhtar

MORE BYJaved Akhtar

    phirte haiñ kab se dar-ba-dar ab is nagar ab us nagar ik dūsre ke ham-safar maiñ aur mirī āvārgī

    nā-āshnā har rah-guzar nā-mehrbāñ har ik nazar jaa.eñ to ab jaa.eñ kidhar maiñ aur mirī āvārgī

    ham bhī kabhī ābād the aise kahāñ barbād the be-fikr the āzād the masrūr the dil-shād the

    vo chaal aisī chal gayā ham bujh ga.e dil jal gayā nikle jalā ke apnā ghar maiñ aur mirī āvārgī

    jiinā bahut āsān thā ik shaḳhs ehsān thā ham ko bhī ik armān thā jo ḳhvāb sāmān thā

    ab ḳhvāb hai nai aarzū armān hai nai justujū yuuñ bhī chalo ḳhush haiñ magar maiñ aur mirī āvārgī

    vo māh-vash vo māh-rū vo māh-kām-e-hū-ba-hū thiiñ jis bāteñ kū-ba-kū us se ajab thī guftugū

    phir yuuñ huā vo kho ga.ī to mujh ko zid ho ga.ī lā.eñge us ko DhūñD kar maiñ aur mirī āvārgī

    ye dil thā jo sah gayā vo baat aisī kah gayā kahne ko phir kyā rah gayā ashkoñ dariyā bah gayā

    jab kah ke vo dilbar gayā tere liye maiñ mar gayā rote haiñ us ko raat bhar maiñ aur mirī āvārgī

    ab ġham uThā.eñ kis liye aañsū bahā.eñ kis liye ye dil jalā.eñ kis liye yuuñ jaañ gañvā.eñ kis liye

    pesha na ho jis sitam DhūñDeñge ab aisā sanam hoñge kahīñ to kārgar maiñ aur mirī āvārgī

    āsār haiñ sab khoT ke imkān haiñ sab choT ke ghar band haiñ sab goT ke ab ḳhatm haiñ sab ToTke

    qismat sab ye pher hai andher hai andher hai aise hue haiñ be-asar maiñ aur mirī āvārgī

    jab hamdam-o-hamrāz thā tab aur andāz thā ab soz hai tab saaz thā ab sharm hai tab naaz thā

    ab mujh se ho to ho bhī kyā hai saath vo to vo bhī kyā ik be-hunar ik be-samar maiñ aur mirī āvārgī

    phirte hain kab se dar-ba-dar ab is nagar ab us nagar ek dusre ke ham-safar main aur meri aawargi

    na-ashna har rah-guzar na-mehrban har ek nazar jaen to ab jaen kidhar main aur meri aawargi

    hum bhi kabhi aabaad the aise kahan barbaad the be-fikr the aazad the masrur the dil-shad the

    wo chaal aisi chal gaya hum bujh gae dil jal gaya nikle jala ke apna ghar main aur meri aawargi

    jina bahut aasan tha ek shaKHs ka ehsan tha hum ko bhi ek arman tha jo KHwab ka saman tha

    ab KHwab hai nai aarzu arman hai nai justuju yun bhi chalo KHush hain magar main aur meri aawargi

    wo mah-wash wo mah-ru wo mah-kaam-e-hu-ba-hu thin jis ki baaten ku-ba-ku us se ajab thi guftugu

    phir yun hua wo kho gai to mujh ko zid si ho gai laenge us ko DhunD kar main aur meri aawargi

    ye dil hi tha jo sah gaya wo baat aisi kah gaya kahne ko phir kya rah gaya ashkon ka dariya bah gaya

    jab kah ke wo dilbar gaya tere liye main mar gaya rote hain us ko raat bhar main aur meri aawargi

    ab gham uThaen kis liye aansu bahaen kis liye ye dil jalaen kis liye yun jaan ganwaen kis liye

    pesha na ho jis ka sitam DhunDenge ab aisa sanam honge kahin to kargar main aur meri aawargi

    aasar hain sab khoT ke imkan hain sab choT ke ghar band hain sab goT ke ab KHatm hain sab ToTke

    qismat ka sab ye pher hai andher hai andher hai aise hue hain be-asar main aur meri aawargi

    jab hamdam-o-hamraaz tha tab aur hi andaz tha ab soz hai tab saz tha ab sharm hai tab naz tha

    ab mujh se ho to ho bhi kya hai sath wo to wo bhi kya ek be-hunar ek be-samar main aur meri aawargi

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Kishore Kumar

    Kishore Kumar

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now