Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wadon hi pe har roz meri jaan na Talo

Mushafi Ghulam Hamdani

wadon hi pe har roz meri jaan na Talo

Mushafi Ghulam Hamdani

va.adoñ pe har roz mirī jaan na Taalo

hai iid din ab to gale ham ko lagā lo

har vaqt miyāñ ḳhuub nahīñ gāliyāñ denī

kyā bakte ho tum yaava zabāñ apnī sambhālo

pahuñche ko chhuḌāoge baḌe mard ho aise

tum pahle mire haath se dāman to chhuḌā lo

dīvāne hai tere ye aalam ki parī bhī

dekh us ko ye kahtī hai koī us ko bulā lo

is shoḳh āñkhoñ ke jo jaatā huuñ muqābil

kahtī haiñ nigāheñ ki use maar Daalo

yuuñ phirte ho maqtal pe shahīdān-e-vafā ke

dāman to zarā haath meñ tum apne uThā lo

jaañ Dāltā hai 'mus.hafī' qālib meñ suḳhan ke

mushkil hai ki tum us tarah sher to Dhālo

go zamzama-e-delhi o lahja-e-pūrab

kyuuñ us taraf hote ho nāhaq ko razālo

wadon hi pe har roz meri jaan na Talo

hai id ka din ab to gale hum ko laga lo

har waqt miyan KHub nahin galiyan deni

kya bakte ho tum yawa zaban apni sambhaalo

pahunche ko chhuDaoge baDe mard ho aise

tum pahle mere hath se daman to chhuDa lo

diwane ka hai tere ye aalam ki pari bhi

dekh us ko ye kahti hai koi us ko bula lo

is shoKH ki aankhon ke jo jata hun muqabil

kahti hain nigahen ki use mar hi Dalo

yun phirte ho maqtal pe shahidan-e-wafa ke

daman to zara hath mein tum apne uTha lo

jaan Dalta hai 'mushafi' qalib mein suKHan ke

mushkil hai ki tum us ki tarah sher to Dhaalo

go zamzama-e-delhi o ku lahja-e-purab

kyun us ki taraf hote ho nahaq ko razalo

Source :
  • Book : kulliyat-e-mas.hafii(Vol-4)(pdf) (Pg. 231)
  • Author : Ghulam hamdani Mashafi
  • Publication : Qaumi council baraye -farogh urdu (2005)
  • Edition : 2005
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now