Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wapsi

MORE BYGhaus Khah makhah Hyderabadi

    ek din jab tañg mujh par ho ga.ī arz-e-dakan

    tab muhājir ban ke niklā bāñdh kar sar se kafan

    kitne barsoñ azāb-e-ajnabiyyat bhī sahā

    zehn-o-dil par jheltā rah gayā rañj-o-mehan

    muflisī meñ bhī tavakkul par guzāra yuuñ kiyā

    pairahan sabr-o-qanā.at rahā hai zeb-tan

    ḳhaak chhānī dar-ba-dar Thokareñ khā.īñ bahut

    par mujhe masrūf rakhtī thī sadā fikr-e-suḳhan

    fikr-e-duniyā se bhī aksar mil jaatī thī najāt

    fikr-e-uqbā meñ jo rahtā maiñ ibādat meñ magan

    haath meñ dhāgā thā chhoTā aur suuī thī baḌī

    maiñ rafū bhī kar nahīñ saktā thā apnā pairahan

    dekh kar mashq-e-suḳhan merī suḳhan-fahmoñ ne jab

    kar liyā mujh be-vatan ko bhī sharīk-e-anjuman

    phir to jaise rahmatoñ ke baab mujh par khul ga.e

    phir mujhe miltī ga.ī har sher par dād-e-suḳhan

    haisiyat se bhī ziyāda izzat-o-shohrat milī

    rizq bhī baḳhshā ḳhudā ne ba-tufail-e-ilm-o-fan

    ab sabhoñ ko ḳhush-o-ḳhurram aur hañstā dekhne

    vaqf maiñ ne kar diyā hai apnā tan man aur dhan

    āḳhirat bhī bas isī tarah sañvar jaa.e mirī

    is lagan meñ tā-dam-e-āḳhir rahūñgā maiñ magan

    inkisārī se zamīñ ko dekh kar chaltā huuñ maiñ

    maiñ ne badlā hai na badlūñgā kabhī apnā chalan

    shā.irī har kajī DanDe se sīdhī ho ga.ī

    zehn ko mere mo.attar kar gayā kevḌe ban

    ghokaro ke chand kāñTe zehn meñ jab chubh ga.e

    fikr ke sab aable phūTe to raas aa.ī chubhan

    taaki merī shā.irī bhī zamīñ zarḳhez ho

    dhumuḌī se bhī karūñgā iktisāb-e-fikr-o-fan

    kuchh samajh meñ nahīñ aatā ki āḳhir kyā karūñ

    is buḌhāpe meñ bhī mujh par haiñ fidā kuchh gul-badan

    ai ḳhudā kar le qubūl ab 'ḳhvāh-maḳhvāh' ye duā

    qā.em-o-dā.em rahe zinda-diloñ anjuman

    god meñ apne sulāne ke liye 'ḳhvāh-maḳhvāh'

    khīñch laa.ī hai merī miTTī mujhe apne vatan

    ek din jab tang mujh par ho gai arz-e-dakan

    tab muhajir ban ke nikla bandh kar sar se kafan

    kitne hi barson azab-e-ajnabiyyat bhi saha

    zehn-o-dil par jhelta hi rah gaya ranj-o-mehan

    muflisi mein bhi tawakkul par guzara yun kiya

    pairahan sabr-o-qanaat ka raha hai zeb-tan

    KHak chhani dar-ba-dar ki Thokaren khain bahut

    par mujhe masruf rakhti thi sada fikr-e-suKHan

    fikr-e-duniya se bhi aksar mil hi jati thi najat

    fikr-e-uqba mein jo rahta main ibaadat mein magan

    hath mein dhaga tha chhoTa aur sui thi baDi

    main rafu bhi kar nahin sakta tha apna pairahan

    dekh kar mashq-e-suKHan meri suKHan-fahmon ne jab

    kar liya mujh be-watan ko bhi sharik-e-anjuman

    phir to jaise rahmaton ke bab mujh par khul gae

    phir mujhe milti gai har sher par dad-e-suKHan

    haisiyat se bhi ziyaada izzat-o-shohrat mili

    rizq bhi baKHsha KHuda ne ba-tufail-e-ilm-o-fan

    ab sabhon ko KHush-o-KHurram aur hansta dekhne

    waqf main ne kar diya hai apna tan man aur dhan

    aaKHirat bhi bas isi tarah sanwar jae meri

    is lagan mein ta-dam-e-aKHir rahunga main magan

    inkisari se zamin ko dekh kar chalta hun main

    main ne badla hai na badlunga kabhi apna chalan

    shairi ki har kaji DanDe se sidhi ho gai

    zehn ko mere moattar kar gaya kewDe ka ban

    ghokaro ke chand kanTe zehn mein jab chubh gae

    fikr ke sab aable phuTe to ras aai chubhan

    taki meri shairi ki bhi zamin zarKHez ho

    dhumuDi se bhi karunga iktisab-e-fikr-o-fan

    kuchh samajh mein hi nahin aata ki aaKHir kya karun

    is buDhape mein bhi mujh par hain fida kuchh gul-badan

    ai KHuda kar le qubul ab 'KHwah-maKHwah' ki ye dua

    qaem-o-daem rahe zinda-dilon ki anjuman

    god mein apne sulane ke liye hi 'KHwah-maKHwah'

    khinch lai hai meri miTTi mujhe apne watan

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now