Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wahshaten kaisi hain KHwabon se ulajhta kya hai

Obaidullah Aleem

wahshaten kaisi hain KHwabon se ulajhta kya hai

Obaidullah Aleem

MORE BYObaidullah Aleem

    vahshateñ kaisī haiñ ḳhvāboñ se ulajhtā kyā hai

    ek duniyā hai akelī tanhā kyā hai

    daad de zarf-e-samā.at to karam hai varna

    tishnagī hai mirī āvāz naġhma kyā hai

    boltā hai koī har-ān lahū meñ mere

    par dikhā.ī nahīñ detā ye tamāshā kyā hai

    jis tamannā meñ guzartī hai javānī merī

    maiñ ne ab tak nahīñ jaanā vo tamannā kyā hai

    ye mirī ruuh ehsās hai āñkheñ kyā haiñ

    ye mirī zaat ā.īna hai chehra kyā hai

    kaash dekho kabhī TuuTe hue ā.īnoñ ko

    dil shikasta ho to phir apnā parāyā kyā hai

    zindagī ai kaḌī dhuup bachā le mujh ko

    pīchhe pīchhe ye mire maut saaya kyā hai

    wahshaten kaisi hain KHwabon se ulajhta kya hai

    ek duniya hai akeli tu hi tanha kya hai

    dad de zarf-e-samaat to karam hai warna

    tishnagi hai meri aawaz ki naghma kya hai

    bolta hai koi har-an lahu mein mere

    par dikhai nahin deta ye tamasha kya hai

    jis tamanna mein guzarti hai jawani meri

    main ne ab tak nahin jaana wo tamanna kya hai

    ye meri ruh ka ehsas hai aankhen kya hain

    ye meri zat ka aaina hai chehra kya hai

    kash dekho kabhi TuTe hue aainon ko

    dil shikasta ho to phir apna paraya kya hai

    zindagi ki ai kaDi dhup bacha le mujh ko

    pichhe pichhe ye mere maut ka saya kya hai

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Obaidullah Aleem

    Obaidullah Aleem

    Source :
    • Book : Chand Chehra Sitara Aankhen (Pg. 125)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now