Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jahan mein aae na koi kami mohabbat ki

Aqeel Abbas Jafri

jahan mein aae na koi kami mohabbat ki

Aqeel Abbas Jafri

MORE BYAqeel Abbas Jafri

    jahāñ meñ aa.e na koī kamī mohabbat

    sadā lagātā rahūñgā yūñhī mohabbat

    ye dil jo baaġh sūrat mahak rahā hai miyāñ

    kabhī khilī thī yahāñ ik kalī mohabbat

    na jaane kitne lamhe palak pe Thahr ga.e

    kisī ne baat jo chheḌī kabhī mohabbat

    rakhā hai ek me.aar har mohabbat meñ

    so jis kisī se bhī ek mohabbat

    thā pahlī pahlī mohabbat nashsha ḳhuub magar

    kuchh aur baat hai is āḳhirī mohabbat

    ye shahr-e-dil ke makīnoñ ko ḳhuub hai mālūm

    har ik pe khultī nahīñ hai galī mohabbat

    na māl-o-zar talab phir use huī koī

    jise nasīb huī hai parī mohabbat

    jab aa.ine meñ nazar aa.e koī aur shaḳhs

    hai pahlī pahlī alāmat yahī mohabbat

    vahī to jaan sakegā hamārā haal 'aqīl'

    vo jis ne hijr sahā kabhī mohabbat

    jahan mein aae na koi kami mohabbat ki

    sada lagata rahunga yunhi mohabbat ki

    ye dil jo bagh ki surat mahak raha hai miyan

    kabhi khili thi yahan ek kali mohabbat ki

    na jaane kitne hi lamhe palak pe Thahr gae

    kisi ne baat jo chheDi kabhi mohabbat ki

    rakha hai ek hi mear har mohabbat mein

    so jis kisi se bhi ki ek si mohabbat ki

    tha pahli pahli mohabbat ka nashsha KHub magar

    kuchh aur baat hai is aaKHiri mohabbat ki

    ye shahr-e-dil ke makinon ko KHub hai malum

    har ek pe khulti nahin hai gali mohabbat ki

    na mal-o-zar ki talab phir use hui koi

    jise nasib hui hai pari mohabbat ki

    jab aaine mein nazar aae koi aur hi shaKHs

    hai pahli pahli alamat yahi mohabbat ki

    wahi to jaan sakega hamara haal 'aqil'

    wo jis ne hijr saha ya kabhi mohabbat ki

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now