Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wallah in shahidon ka mear dekh kar

Hassaan Arfi

wallah in shahidon ka mear dekh kar

Hassaan Arfi

vallāh in shahīdoñ me.aar dekh kar

hai marg-e-shauq aur sivā daar dekh kar

un par bhī khul sakā na ufuq tilismī raaz

hairān-kun karishma-e-fankār dekh kar

shorīdgī-e-ābla-pā.ī ke bāvajūd

jazbe na kam hue rah-e-pur-ḳhār dekh kar

is mājrā-e-lutf pe pahroñ sukūt-e-shab

hairāñ thā ḳhud ko apnā ġham-ḳhvār dekh kar

dāman chhuḌā na paa.e dam-e-sair apnā ham

kāñToñ anjuman bhī isrār dekh kar

patthar tarāshne hunar jāntā thā maiñ

par chup thā but-parast ḳharīdār dekh kar

'hassān' sīkho aur zarā shā.irī fan

'ġhālib' 'jigar' 'firāq' ke ash.ār dekh kar

wallah in shahidon ka mear dekh kar

hai marg-e-shauq aur siwa dar dekh kar

un par bhi khul saka na ufuq ka tilismi raaz

hairan-kun karishma-e-fankar dekh kar

shoridgi-e-abla-pai ke bawajud

jazbe na kam hue rah-e-pur-KHar dekh kar

is majra-e-lutf pe pahron sukut-e-shab

hairan tha KHud ko apna hi gham-KHwar dekh kar

daman chhuDa na pae dam-e-sair apna hum

kanTon ki anjuman ka bhi israr dekh kar

patthar tarashne ka hunar jaanta tha main

par chup tha but-parast KHaridar dekh kar

'hassan' sikho aur zara shairi ka fan

'ghaalib' 'jigar' 'firaq' ke ashaar dekh kar

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now