wasl ki shab thi aur ujale kar rakkhe the
vasl kī shab thī aur ujāle kar rakkhe the
jism o jaañ sab us ke havāle kar rakkhe the
jaise ye pahlā aur āḳhirī mel huā ho
haal to donoñ ne behāle kar rakkhe the
khoj rahe the ruuh ko jismoñ ke raste se
taur-tarīqe pāgaloñ vaale kar rakkhe the
ham se nā-dānoñ ne ishq kī barkat hī se
kaise kaise kaam nirāle kar rakkhe the
vo bhī thā kuchh halke halke se make-up meñ
baal apne ham ne bhī kaale kar rakkhe the
apne aap hī aayā thā phir marham ban kar
jis ne hamāre dil meñ chhāle kar rakkhe the
'haidar' apnī tāsīreñ le aa.e āḳhir
hijr meñ ham ne jitne naale kar rakkhe the
wasl ki shab thi aur ujale kar rakkhe the
jism o jaan sab us ke hawale kar rakkhe the
jaise ye pahla aur aaKHiri mel hua ho
haal to donon ne behaale kar rakkhe the
khoj rahe the ruh ko jismon ke raste se
taur-tariqe pagalon wale kar rakkhe the
hum se na-danon ne ishq ki barkat hi se
kaise kaise kaam nirale kar rakkhe the
wo bhi tha kuchh halke halke se make-up mein
baal apne hum ne bhi kale kar rakkhe the
apne aap hi aaya tha phir marham ban kar
jis ne hamare dil mein chhaale kar rakkhe the
'haidar' apni tasiren le aae aaKHir
hijr mein hum ne jitne nale kar rakkhe the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.