Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wida-e-yar ka lamha Thahar gaya mujh mein

Rehman Faris

wida-e-yar ka lamha Thahar gaya mujh mein

Rehman Faris

MORE BYRehman Faris

    vidā-e-yār lamha Thahar gayā mujh meñ

    maiñ ḳhud to zinda rahā vaqt mar gayā mujh meñ

    sukūt-e-shām meñ chīḳheñ sunā.ī detī haiñ

    jaate jaate ajab shor bhar gayā mujh meñ

    vo pahle sirf mirī aañkh meñ samāyā thā

    phir ek roz ragoñ tak utar gayā mujh meñ

    kuchh aise dhyān meñ chehra tirā tulūa huā

    ġhurūb-e-shām manzar nikhar gayā mujh meñ

    maiñ us zaat se munkir thā aur phir ik din

    vo apne hone elaan kar gayā mujh meñ

    khañDar samajh ke mirī sair karne aayā thā

    gayā to mausam-e-ġham phuul dhar gayā mujh meñ

    galī meñ gūñjī ḳhamoshī chīḳh raat ke vaqt

    tumhārī yaad bachcha Dar gayā mujh meñ

    batā maiñ kyā karūñ dil naam ke is āñgan

    tirī umiid pe jo saj-sañvar gayā mujh meñ

    ye apne apne muqaddar baat hai 'fāris'

    maiñ is meñ simTā rahā vo bikhar gayā mujh meñ

    wida-e-yar ka lamha Thahar gaya mujh mein

    main KHud to zinda raha waqt mar gaya mujh mein

    sukut-e-sham mein chiKHen sunai deti hain

    tu jate jate ajab shor bhar gaya mujh mein

    wo pahle sirf meri aankh mein samaya tha

    phir ek roz ragon tak utar gaya mujh mein

    kuchh aise dhyan mein chehra tera tulua hua

    ghurub-e-sham ka manzar nikhar gaya mujh mein

    main us ki zat se munkir tha aur phir ek din

    wo apne hone ka elan kar gaya mujh mein

    khanDar samajh ke meri sair karne aaya tha

    gaya to mausam-e-gham phul dhar gaya mujh mein

    gali mein gunji KHamoshi ki chiKH raat ke waqt

    tumhaari yaad ka bachcha sa Dar gaya mujh mein

    bata main kya karun dil nam ke is aangan ka

    teri umid pe jo saj-sanwar gaya mujh mein

    ye apne apne muqaddar ki baat hai 'faris'

    main is mein simTa raha wo bikhar gaya mujh mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now