wo ab tijarati pahlu nikal leta hai
vo ab tijāratī pahlū nikāl letā hai
maiñ kuchh kahūñ to tarāzū nikāl letā hai
vo phuul toḌe hameñ koī e'tirāz nahīñ
magar vo toḌ ke ḳhushbū nikāl letā hai
maiñ is liye bhī tire fan kī qadr kartā huuñ
tū jhuuT bol ke aañsū nikāl letā hai
añdhere chiir ke jugnū nikālne kā hunar
bahut kaThin hai magar tū nikāl letā hai
vo bevafā.ī kā iz.hār yuuñ bhī kartā hai
parinde maar ke baazū nikāl letā hai
wo ab tijarati pahlu nikal leta hai
main kuchh kahun to taraazu nikal leta hai
wo phul toDe hamein koi e'tiraaz nahin
magar wo toD ke KHushbu nikal leta hai
main is liye bhi tere fan ki qadr karta hun
tu jhuT bol ke aansu nikal leta hai
andhere chir ke jugnu nikalne ka hunar
bahut kaThin hai magar tu nikal leta hai
wo bewafai ka izhaar yun bhi karta hai
parinde mar ke bazu nikal leta hai
- Book : Chandi Ka waraq (Pg. 81)
- Author : Ahmad Kamal Parvazi
- Publication : Surkhwab Publication (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.