wo baad-e-garm tha baad-e-saba ke hote hue
vo bād-e-garm thā bād-e-sabā ke hote hue
maiñ zaḳhm zaḳhm thā barg-e-hinā ke hote hue
bas ek manzar-e-ḳhālī thā merī āñkhoñ meñ
nigār-e-ḳhāna-e-rañg-e-hinā ke hote hue
vo tāq-e-dil ho ki mehrāb-e-mimbar-e-maqtal
charāġh sab ne jalā.e havā ke hote hue
ajiib log the ḳhāmosh rah ke jiite the
diloñ meñ hurmat-e-sañg-e-sadā ke hote hue
vo ek vasl kī shab bhī malāl meñ guzrī
girah-e-kushā.ī-e-band-e-qabā ke hote hue
vo lauT aa.e the ranj-e-safar ke imkāñ se
rafīq-e-rāh kī āvāz-e-pā ke hote hue
na kam huā thā gunāhoñ se raġhbatoñ kā junūñ
hazār sohbat-e-sidq-o-safā ke hote hue
wo baad-e-garm tha baad-e-saba ke hote hue
main zaKHm zaKHm tha barg-e-hina ke hote hue
bas ek manzar-e-KHali tha meri aankhon mein
nigar-e-KHana-e-rang-e-hina ke hote hue
wo taq-e-dil ho ki mehrab-e-mimbar-e-maqtal
charagh sab ne jalae hawa ke hote hue
ajib log the KHamosh rah ke jite the
dilon mein hurmat-e-sang-e-sada ke hote hue
wo ek wasl ki shab bhi malal mein guzri
girah-e-kushai-e-band-e-qaba ke hote hue
wo lauT aae the ranj-e-safar ke imkan se
rafiq-e-rah ki aawaz-e-pa ke hote hue
na kam hua tha gunahon se raghbaton ka junun
hazar sohbat-e-sidq-o-safa ke hote hue
- Book : Sang-ge-Sada (Pg. 271)
- Author : Zubair Razvi
- Publication : Zehne Jadid, New Delhi (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.