Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo naznin ye nazakat mein kuchh yagana hua

Haidar Ali Aatish

wo naznin ye nazakat mein kuchh yagana hua

Haidar Ali Aatish

vo nāznīñ ye nazākat meñ kuchh yagāna huā

jo pahnī phūloñ baddhī to dard-e-shāna huā

shahīd nāz-o-adā tire zamāna huā

uḌāyā mehñdī ne dil chor bahāna huā

shab us ke afa.ī-e-gesū jo fasāna huā

havā kuchh aisī bañdhī gul charāġh-e-ḳhāna huā

na zulf-e-yār ḳhāka bhī kar sakā maanī

har ek baal meñ kyā kyā na shāḳhsāna huā

tavangaroñ ko mubārak ho sham-e-kafūrī

qadam se yaar ke raushan ġharīb-ḳhāna huā

gunāhgār haiñ mehrāb-e-teġh ke sājid

jhukāyā sar to adā farz-e-panj-gāna huā

ġhurūr-e-ishq ziyāda ġhurūr-e-husn se hai

idhar to aañkh bharī dam udhar ravāna huā

dikhā de zāhid-e-maġhrūr ko bhī ai sanam aañkh

jamāl-e-hūr had se sivā fasāna huā

bharā hai shīsha-e-dil ko mai-e-mohabbat se

ḳhudā ghar thā jahāñ vaañ sharāb-ḳhāna huā

havā.e tund na chhoḌe mire ġhubār saath

ye gard-e-rāh kahāñ ḳhāk-e-āstāna huā

ḳhudā ke vāste kar yaar chīn-e-abrū duur

baḌā aib lagā jis kamāñ meñ ḳhāna huā

huā jo din to huā us ko paas rusvā.ī

jo raat aa.ī to phir niiñd bahāna huā

na pūchh haal mirā chob-e-ḳhushk-e-sahrā huuñ

lagā ke aag mujhe kārvāñ ravāna huā

nigāh-e-nāz-e-butāñ se na chashm-e-rahm bhī rakh

kisī yaar nahīñ fitna-e-zamāna huā

asar kiyā tapish-e-dil ne āḳhir us ko bhī

raqīb se bhī mirā zikr ġhā.ebāna huā

havā.e tund se pattā agar koī khaḌkā

samand-e-bād-e-bahārī tāziyāna huā

zabān-e-yār ḳhamoshī ne merī khulvā.ī

maiñ qufl ban ke kalīd-e-dar-e-ḳhazāna huā

kiyā jo yaar ne kuchh shaġhl-e-barq-añdāzī

charāġh-e-zindagī-e-ḳhizar tak nishāna huā

rahā hai chāh-e-zaqan meñ mirā dil-e-vahshī

kuñ.eñ meñ jañgalī kabūtar āshiyāna huā

ḳhudā darāz kare umr-e-charḳh-e-nīlī ko

ye be-kasoñ ke mazāroñ shāmiyāna huā

nahīñ hai misl-e-sadaf mujh dūsrā kam-baḳht

nasīb-e-ġhair mire muñh āb-o-dāna huā

hinā.ī hāthoñ se choTī ko kholtā hai yaar

kahāñ se panjā-e-marjāñ harīf-e-shāna huā

dikhā.ī chashm-e-ġhazālāñ ne halqa-e-zanjīr

hameñ to gosha-e-sahrā bhī qaid-ḳhāna huā

hamesha shaam se ham-sā.e mar rahe 'ātish'

hamārā nāla-e-dil gosh ko fasāna huā

wo naznin ye nazakat mein kuchh yagana hua

jo pahni phulon ki baddhi to dard-e-shana hua

shahid naz-o-ada ka tere zamana hua

uDaya mehndi ne dil chor ka bahana hua

shab us ke afai-e-gesu ka jo fasana hua

hawa kuchh aisi bandhi gul charagh-e-KHana hua

na zulf-e-yar ka KHaka bhi kar saka mani

har ek baal mein kya kya na shaKHsana hua

tawangaron ko mubarak ho sham-e-kafuri

qadam se yar ke raushan gharib-KHana hua

gunahgar hain mehrab-e-tegh ke sajid

jhukaya sar to ada farz-e-panj-gana hua

ghurur-e-ishq ziyaada ghurur-e-husn se hai

idhar to aankh bhari dam udhar rawana hua

dikha de zahid-e-maghrur ko bhi ai sanam aankh

jamal-e-hur ka had se siwa fasana hua

bhara hai shisha-e-dil ko mai-e-mohabbat se

KHuda ka ghar tha jahan wan sharab-KHana hua

hawae tund na chhoDe mere ghubar ka sath

ye gard-e-rah kahan KHak-e-astana hua

KHuda ke waste kar yar chin-e-abru dur

baDa hi aib laga jis kaman mein KHana hua

hua jo din to hua us ko pas ruswai

jo raat aai to phir nind ka bahana hua

na puchh haal mera chob-e-KHushk-e-sahra hun

laga ke aag mujhe karwan rawana hua

nigah-e-naz-e-butan se na chashm-e-rahm bhi rakh

kisi ka yar nahin fitna-e-zamana hua

asar kiya tapish-e-dil ne aaKHir us ko bhi

raqib se bhi mera zikr ghaebana hua

hawae tund se patta agar koi khaDka

samand-e-baad-e-bahaari ka taziyana hua

zaban-e-yar KHamoshi ne meri khulwai

main qufl ban ke kalid-e-dar-e-KHazana hua

kiya jo yar ne kuchh shaghl-e-barq-andazi

charagh-e-zindagi-e-KHizar tak nishana hua

raha hai chah-e-zaqan mein mera dil-e-wahshi

kunen mein jangali kabutar ka aashiyana hua

KHuda daraaz kare umr-e-charKH-e-nili ko

ye be-kason ke mazaron ka shamiyana hua

nahin hai misl-e-sadaf mujh sa dusra kam-baKHt

nasib-e-ghair mere munh ka aab-o-dana hua

hinai hathon se choTi ko kholta hai yar

kahan se panja-e-marjaan harif-e-shana hua

dikhai chashm-e-ghazalan ne halqa-e-zanjir

hamein to gosha-e-sahra bhi qaid-KHana hua

hamesha sham se ham-sae mar rahe 'atish'

hamara nala-e-dil gosh ko fasana hua

Source :
  • Book : Rekhta Ke Atish (Pg. 26)
  • Author : Khwaja Haider Ali Aatish
  • Publication : Rekhta Publications
  • Edition : First
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now