Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye dil ye pagal dil mera kyun bujh gaya aawargi

Mohsin Naqvi

ye dil ye pagal dil mera kyun bujh gaya aawargi

Mohsin Naqvi

MORE BYMohsin Naqvi

    Interesting Fact

    Film: Maati Maangey Khoon (1984)

    ye dil ye pāgal dil mirā kyuuñ bujh gayā āvārgī

    is dasht meñ ik shahr thā vo kyā huā āvārgī

    kal shab mujhe be-shakl āvāz ne chauñkā diyā

    maiñ ne kahā kaun hai us ne kahā āvārgī

    logo bhalā is shahr meñ kaise jiyeñge ham jahāñ

    ho jurm tanhā sochnā lekin sazā āvārgī

    ye dard tanhā.iyāñ ye dasht vīrāñ safar

    ham log to uktā ga.e apnī sunā āvārgī

    ik ajnabī jhoñke ne jab pūchhā mire ġham sabab

    sahrā bhīgī ret par maiñ ne likhā āvārgī

    us samt vahshī ḳhvāhishoñ zad meñ paimān-e-vafā

    us samt lahroñ dhamak kachchā ghaḌā āvārgī

    kal raat tanhā chāñd ko dekhā thā maiñ ne ḳhvāb meñ

    'mohsin' mujhe raas aa.egī shāyad sadā āvārgī

    ye dil ye pagal dil mera kyun bujh gaya aawargi

    is dasht mein ek shahr tha wo kya hua aawargi

    kal shab mujhe be-shakl ki aawaz ne chaunka diya

    main ne kaha tu kaun hai us ne kaha aawargi

    logo bhala is shahr mein kaise jiyenge hum jahan

    ho jurm tanha sochna lekin saza aawargi

    ye dard ki tanhaiyan ye dasht ka viran safar

    hum log to ukta gae apni suna aawargi

    ek ajnabi jhonke ne jab puchha mere gham ka sabab

    sahra ki bhigi ret par main ne likha aawargi

    us samt wahshi KHwahishon ki zad mein paiman-e-wafa

    us samt lahron ki dhamak kachcha ghaDa aawargi

    kal raat tanha chand ko dekha tha main ne KHwab mein

    'mohsin' mujhe ras aaegi shayad sada aawargi

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Ghulam Ali

    Ghulam Ali

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now