Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hangama hai kyun barpa thoDi si jo pi li hai

Akbar Allahabadi

hangama hai kyun barpa thoDi si jo pi li hai

Akbar Allahabadi

MORE BYAkbar Allahabadi

    hangāma hai kyuuñ barpā thoḌī jo hai

    Daakā to nahīñ maarā chorī to nahīñ hai

    barely have I sipped a bit, why should this uproar be

    It's not that I've commited theft or daylight robbery

    nā-tajraba-kārī se vaa.iz ye haiñ bāteñ

    is rang ko kyā jaane pūchho to kabhī hai

    the preachers prattle can be to inexerience ascribed

    how does he know the joys thereof, has he ever imbibed

    us mai se nahīñ matlab dil jis se hai begāna

    maqsūd hai us mai se dil meñ jo khiñchtī hai

    that wine is of little use which causes loss of sense

    I seek the wine that imbues the heart with love intense

    ai shauq vahī mai ai hosh zarā so

    mehmān-e-nazar is dam ik barq-e-tajallī hai

    her heart wishes to torture, mine wants to tolerate

    a strange heart she possesses, an odd one I do rate

    vaañ dil meñ ki sadme do yaañ meñ ki sab sah lo

    un bhī ajab dil hai merā bhī ajab hai

    each speck does glitter with heavens brilliant glare

    each breath proclaims if I, exist God too is there

    har zarra chamaktā hai anvār-e-ilāhī se

    har saañs ye kahtī hai ham haiñ to ḳhudā bhī hai

    stains besmirch the sun, it's nature's miracle

    Idols call me a heretic, it too must be God's will

    sūraj meñ lage dhabbā fitrat ke karishme haiñ

    but ham ko kaheñ kāfir allāh marzī hai

    ta.alīm shor aisā tahzīb ġhul itnā

    barkat jo nahīñ hotī niyyat ḳharābī hai

    sach kahte haiñ shaiḳh 'akbar' hai tā.at-e-haq lāzim

    haañ tark-e-mai-o-shāhid ye un buzurgī hai

    hangama hai kyun barpa thoDi si jo pi li hai

    Daka to nahin mara chori to nahin ki hai

    barely have I sipped a bit, why should this uproar be

    It's not that I've commited theft or daylight robbery

    na-tajraba-kari se waiz ki ye hain baaten

    is rang ko kya jaane puchho to kabhi pi hai

    the preachers prattle can be to inexerience ascribed

    how does he know the joys thereof, has he ever imbibed

    us mai se nahin matlab dil jis se hai begana

    maqsud hai us mai se dil hi mein jo khinchti hai

    that wine is of little use which causes loss of sense

    I seek the wine that imbues the heart with love intense

    ai shauq wahi mai pi ai hosh zara so ja

    mehman-e-nazar is dam ek barq-e-tajalli hai

    her heart wishes to torture, mine wants to tolerate

    a strange heart she possesses, an odd one I do rate

    wan dil mein ki sadme do yan ji mein ki sab sah lo

    un ka bhi ajab dil hai mera bhi ajab ji hai

    each speck does glitter with heavens brilliant glare

    each breath proclaims if I, exist God too is there

    har zarra chamakta hai anwar-e-ilahi se

    har sans ye kahti hai hum hain to KHuda bhi hai

    stains besmirch the sun, it's nature's miracle

    Idols call me a heretic, it too must be God's will

    suraj mein lage dhabba fitrat ke karishme hain

    but hum ko kahen kafir allah ki marzi hai

    talim ka shor aisa tahzib ka ghul itna

    barkat jo nahin hoti niyyat ki KHarabi hai

    sach kahte hain shaiKH 'akbar' hai taat-e-haq lazim

    han tark-e-mai-o-shahid ye un ki buzurgi hai

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Ustad Amanat Ali Khan

    Ustad Amanat Ali Khan

    Ranjeet Rajwada

    Ranjeet Rajwada

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now