aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil hijr ke dard se bojhal hai ab aan milo to behtar ho

Ibn e Insha

dil hijr ke dard se bojhal hai ab aan milo to behtar ho

Ibn e Insha

MORE BYIbn e Insha

    dil hijr ke dard se bojhal hai ab aan milo to behtar ho

    is baat se ham ko kyā matlab ye kaise ho ye kyūñkar ho

    ik bhiik ke donoñ kaase haiñ ik pyaas ke dono pyāse haiñ

    ham khetī haiñ tum bādal ho ham nadiyāñ haiñ tum sāgar ho

    ye dil hai ki jalte siine meñ ik dard phoḌā allhaḌ

    gupt rahe phuuT bahe koī marham ho koī nishtar ho

    ham sāñjh samay chhāyā haiñ tum chaḌhtī raat ke chandramāñ

    ham jaate haiñ tum aate ho phir mel sūrat kyūñkar ho

    ab husn rutba 'aalī hai ab husn se sahrā ḳhālī hai

    chal bastī meñ banjāra ban chal nagrī meñ saudāgar ho

    jis chiiz se tujh ko nisbat hai jis chiiz tujh ko chāhat hai

    vo sonā hai vo hiirā hai vo maaTī ho kankar ho

    ab 'inshā'-jī ko bulānā kyā ab pyaar ke diip jalānā kyā

    jab dhuup aur chhāyā ek se hoñ jab din aur raat barābar ho

    vo rāteñ chāñd ke saath ga.iiñ vo bāteñ chāñd ke saath ga.iiñ

    ab sukh ke sapne kyā dekheñ jab dukh sūraj sar par ho

    dil hijr ke dard se bojhal hai ab aan milo to behtar ho

    is baat se hum ko kya matlab ye kaise ho ye kyunkar ho

    ek bhik ke donon kase hain ek pyas ke dono pyase hain

    hum kheti hain tum baadal ho hum nadiyan hain tum sagar ho

    ye dil hai ki jalte sine mein ek dard ka phoDa allhaD sa

    na gupt rahe na phuT bahe koi marham ho koi nishtar ho

    hum sanjh samay ki chhaya hain tum chaDhti raat ke chandraman

    hum jate hain tum aate ho phir mel ki surat kyunkar ho

    ab husn ka rutba 'ali hai ab husn se sahra KHali hai

    chal basti mein banjara ban chal nagri mein saudagar ho

    jis chiz se tujh ko nisbat hai jis chiz ki tujh ko chahat hai

    wo sona hai wo hira hai wo maTi ho ya kankar ho

    ab 'insha'-ji ko bulana kya ab pyar ke dip jalana kya

    jab dhup aur chhaya ek se hon jab din aur raat barabar ho

    wo raaten chand ke sath gain wo baaten chand ke sath gain

    ab sukh ke sapne kya dekhen jab dukh ka suraj sar par ho

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    dil hijr ke dard se bojhal hai ab aan milo to behtar ho Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now