Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

teri zulfon ke bikharne ka sabab hai koi

Nasir Kazmi

teri zulfon ke bikharne ka sabab hai koi

Nasir Kazmi

MORE BYNasir Kazmi

    terī zulfoñ ke bikharne sabab hai koī

    aañkh kahtī hai tire dil meñ talab hai koī

    aañch aatī hai tire jism uryānī se

    pairahan hai ki sulagtī huī shab hai koī

    hosh uḌāne lagīñ phir chāñd ThanDī kirneñ

    terī bastī meñ huuñ ḳhvāb-e-tarab hai koī

    giit buntī hai tire shahr bharpūr havā

    ajnabī maiñ nahīñ bhī ajab hai koī

    liye jaatī haiñ kisī dhyān lahreñ 'nāsir'

    duur tak silsila-e-tāk-e-tarab hai koī

    teri zulfon ke bikharne ka sabab hai koi

    aankh kahti hai tere dil mein talab hai koi

    aanch aati hai tere jism ki uryani se

    pairahan hai ki sulagti hui shab hai koi

    hosh uDane lagin phir chand ki ThanDi kirnen

    teri basti mein hun ya KHwab-e-tarab hai koi

    git bunti hai tere shahr ki bharpur hawa

    ajnabi main hi nahin tu bhi ajab hai koi

    liye jati hain kisi dhyan ki lahren 'nasir'

    dur tak silsila-e-tak-e-tarab hai koi

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    teri zulfon ke bikharne ka sabab hai koi Nomaan Shauque

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now