yaro ku-e-yar ki baaten karen
yaaro kū-e-yār kī bāteñ kareñ
phir gul o gulzār kī bāteñ kareñ
chāndnī meñ ai dil ik ik phuul se
apne gul-ruḳhsār kī bāteñ kareñ
āñkhoñ āñkhoñ meñ luTā.e mai-kade
dīda-e-sarshār kī bāteñ kareñ
ab to miliye bas laḌā.ī ho chukī
ab to chaliye pyaar kī bāteñ kareñ
phir mahak uTThe fazā-e-zindagī
phir gul o ruḳhsār kī bāteñ kareñ
mahshar-e-anvār kar deñ bazm ko
jalva-e-dīdār kī bāteñ kareñ
apnī āñkhoñ se bahā.eñ sail-e-ashk
abr-e-gauhar-bār kī bāteñ kareñ
un ko ulfat hī sahī aġhyār se
ham se kyuuñ aġhyār kī bāteñ kareñ
'aḳhtar' us rañgīñ adā se raat bhar
tāla-e-bedār kī bāteñ kareñ
yaro ku-e-yar ki baaten karen
phir gul o gulzar ki baaten karen
chandni mein ai dil ek ek phul se
apne gul-ruKHsar ki baaten karen
aankhon aankhon mein luTae mai-kade
dida-e-sarshaar ki baaten karen
ab to miliye bas laDai ho chuki
ab to chaliye pyar ki baaten karen
phir mahak uTThe faza-e-zindagi
phir gul o ruKHsar ki baaten karen
mahshar-e-anwar kar den bazm ko
jalwa-e-didar ki baaten karen
apni aankhon se bahaen sail-e-ashk
abr-e-gauhar-bar ki baaten karen
un ko ulfat hi sahi aghyar se
hum se kyun aghyar ki baaten karen
'aKHtar' us rangin ada se raat bhar
tala-e-bedar ki baaten karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.