Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye gul bhi zinat-e-aghosh-e-dariya-e-qaza nikle

Aish Meeruthi

ye gul bhi zinat-e-aghosh-e-dariya-e-qaza nikle

Aish Meeruthi

ye gul bhī zīnat-e-āġhosh-e-dariyā-e-qazā nikle

jinheñ ham bā-vafā samjhe the vo bhī bevafā nikle

natīja justujū-e-shauq kyā jaane kyā nikle

pas-e-parda ye mumkin hai vahī rañgīñ-adā nikle

karishma hai ye saarā ishq varna kab mumkin

lahū ke qatre qatre se anal-haq sadā nikle

matā-e-zindagī ārām-e-jāñ sabr-o-qarār-e-dil

ḳhudā shaan hai ham un ko kyā samjhe vo kyā nikle

hue majrūh barg-e-gul inhīñ ḳhāroñ se gulshan ke

chaman ke pāsbāñ bāni-e-jaur-o-jafā nikle

ma.āz-allāh ilzām apnī barbādī ġhairoñ par

Dubone vaale kashtī ke jab apne nāḳhudā nikle

karūñ kis gila kahte hue bhī sharm aatī hai

raqīb afsos apne purāne āshnā nikle

hamāre baad vo aa.e ayādat ko to kyā aa.e

kisī ke is tarah nikle agar armāñ to kyā nikle

bahut mushkil hai 'aish' is daur meñ nikle koī hasrat

ye kyā kam hai koī dāman agar apnā bachā nikle

ye gul bhi zinat-e-aghosh-e-dariya-e-qaza nikle

jinhen hum ba-wafa samjhe the wo bhi bewafa nikle

natija justuju-e-shauq ka kya jaane kya nikle

pas-e-parda ye mumkin hai wahi rangin-ada nikle

karishma hai ye sara ishq ka hi warna kab mumkin

lahu ke qatre qatre se anal-haq ki sada nikle

mata-e-zindagi aaram-e-jaan sabr-o-qarar-e-dil

KHuda ki shan hai hum un ko kya samjhe wo kya nikle

hue majruh barg-e-gul inhin KHaron se gulshan ke

chaman ke pasban hi bani-e-jaur-o-jafa nikle

maaz-allah ilzam apni barbaadi ka ghairon par

Dubone wale kashti ke jab apne naKHuda nikle

karun kis ka gila kahte hue bhi sharm aati hai

raqib afsos apne hi purane aashna nikle

hamare baad wo aae ayaadat ko to kya aae

kisi ke is tarah nikle agar arman to kya nikle

bahut mushkil hai 'aish' is daur mein nikle koi hasrat

ye kya kam hai koi daman agar apna bacha nikle

Source :
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now