ye hasin log hain tu inki murawwat pe na ja
ye hasīñ log haiñ tū in kī muravvat pe na jā
ḳhud hī uTh baiTh kisī izn o ijāzat pe na jā
sūrat-e-sham.a tire sāmne raushan haiñ jo phuul
un kī kirnoñ meñ nahā zauq-e-samā.at pe na jā
dil sī check-bōk hai tire paas tujhe kyā dhaḌkā
jī ko bhā jaa.e to phir chiiz kī qīmat pe na jā
itnā kam-zarf na ban us ke bhī siine meñ hai dil
us kā ehsās bhī rakh apnī hī rāhat pe na jā
dekhtā kyā hai Thahar kar mirī jānib har roz
rauzan-e-dar huuñ mirī diid kī hairat pe na jā
tere dil-soḳhta baiThe haiñ sar-e-bām abhī
baal khole hue tāroñ bharī is chhat pe na jā
merī poshāk to pahchān nahīñ hai merī
dil meñ bhī jhāñk mirī zāhirī hālat pe na jā
ye hasin log hain tu in ki murawwat pe na ja
KHud hi uTh baiTh kisi izn o ijazat pe na ja
surat-e-shama tere samne raushan hain jo phul
un ki kirnon mein naha zauq-e-samaat pe na ja
dil si check-book hai tere pas tujhe kya dhaDka
ji ko bha jae to phir chiz ki qimat pe na ja
itna kam-zarf na ban us ke bhi sine mein hai dil
us ka ehsas bhi rakh apni hi rahat pe na ja
dekhta kya hai Thahar kar meri jaanib har roz
rauzan-e-dar hun meri did ki hairat pe na ja
tere dil-soKHta baiThe hain sar-e-baam abhi
baal khole hue taron bhari is chhat pe na ja
meri poshak to pahchan nahin hai meri
dil mein bhi jhank meri zahiri haalat pe na ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.