ye kaisi kashmakash hai zindagi mein
ye kaisī kashmakash hai zindagī meñ
kisī ko DhūñDte haiñ ham kisī meñ
jo kho jaatā hai mil kar zindagī meñ
ġhazal hai naam us kā shā.erī meñ
nikal aate haiñ aañsū hañste hañste
ye kis ġham kī kasak hai har ḳhushī meñ
kahīñ chehra kahīñ āñkheñ kahīñ lab
hamesha ek miltā hai ka.ī meñ
chamaktī hai añdheroñ meñ ḳhamoshī
sitāre TūTte haiñ raat hī meñ
sulagtī ret meñ paanī kahāñ thā
koī bādal chhupā thā tishnagī meñ
bahut mushkil hai banjāra-mizājī
salīqa chāhiye āvārgī meñ
ye kaisi kashmakash hai zindagi mein
kisi ko DhunDte hain hum kisi mein
jo kho jata hai mil kar zindagi mein
ghazal hai nam us ka shaeri mein
nikal aate hain aansu hanste hanste
ye kis gham ki kasak hai har KHushi mein
kahin chehra kahin aankhen kahin lab
hamesha ek milta hai kai mein
chamakti hai andheron mein KHamoshi
sitare TuTte hain raat hi mein
sulagti ret mein pani kahan tha
koi baadal chhupa tha tishnagi mein
bahut mushkil hai banjara-mizaji
saliqa chahiye aawargi mein
- Book : Sheher Men Gaon (Pg. 329)
- Author : Shahid Mahili
- Publication : Miaar Publications (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.