Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye kis rashk-e-masiha ka makan hai

Haidar Ali Aatish

ye kis rashk-e-masiha ka makan hai

Haidar Ali Aatish

ye kis rashk-e-masīhā makāñ hai

zamīñ yaañ chahārum āsmāñ hai

ḳhudā pinhāñ hai aalam āshkārā

nihāñ hai ganj vīrāna ayaañ hai

dil-e-raushan hai raushan-gar manzil

ye ā.īna sikandar makāñ hai

takalluf se barī hai husn-e-zātī

qabā-e-gul meñ gul-būTā kahāñ hai

pasījegā kabhī to dil kisī

hamesha apnī aahoñ dhuāñ hai

ba-rañg-e-bū huuñ gulshan meñ maiñ bulbul

baġhal ġhunche ke merā āshiyāñ hai

shagufta rahtī hai ḳhātir hamesha

qanā.at bhī bahār-e-be-ḳhizāñ hai

chaman sair par hotā hai jhagḌā

kamar merī hai dast-e-bāġhbāñ hai

bahut aatā hai yaad ai sabr-e-miskīñ

ḳhudā ḳhush rakkhe tujh ko jahāñ hai

ilāhī ek dil kis kis ko duuñ maiñ

hazāroñ but haiñ yaañ hindostāñ hai

yaqīñ hotā hai ḳhushbūī se is ke

kisī gul-rū ġhuncha itr-dāñ hai

vatan meñ apne ahl-e-shauq tarah

safar meñ roz-o-shab reg-e-ravāñ hai

sahar hove kahīñ shabnam kare kuuch

gul o bulbul dariyā darmiyāñ hai

sa.ādat-mand qismat par haiñ shākir

humā ko maġhz-e-bādām ustuḳhvāñ hai

dil-e-betāb jo is meñ gire haiñ

zaqan jānāñ paara kuaañ hai

jaras ke saath dil rahte haiñ nālāñ

mire yūsuf āshiq kārvāñ hai

na kah rindoñ ko harf-e-saḳht vaa.iz

durusht ahl-e-jahannum zabāñ hai

qad-e-mahbūb ko shā.er kaheñ sarv

qayāmat ye ai 'ātish' nishāñ hai

ye kis rashk-e-masiha ka makan hai

zamin yan ki chahaarum aasman hai

KHuda pinhan hai aalam aashkara

nihan hai ganj virana ayan hai

dil-e-raushan hai raushan-gar ki manzil

ye aaina sikandar ka makan hai

takalluf se bari hai husn-e-zati

qaba-e-gul mein gul-buTa kahan hai

pasijega kabhi to dil kisi ka

hamesha apni aahon ka dhuan hai

ba-rang-e-bu hun gulshan mein main bulbul

baghal ghunche ke mera aashiyan hai

shagufta rahti hai KHatir hamesha

qanaat bhi bahaar-e-be-KHizan hai

chaman ki sair par hota hai jhagDa

kamar meri hai dast-e-baghban hai

bahut aata hai yaad ai sabr-e-miskin

KHuda KHush rakkhe tujh ko tu jahan hai

ilahi ek dil kis kis ko dun main

hazaron but hain yan hindostan hai

yaqin hota hai KHushbui se is ke

kisi gul-ru ka ghuncha itr-dan hai

watan mein apne ahl-e-shauq ki tarah

safar mein roz-o-shab reg-e-rawan hai

sahar howe kahin shabnam kare kuch

gul o bulbul ka dariya darmiyan hai

saadat-mand qismat par hain shakir

huma ko maghz-e-baadam ustuKHwan hai

dil-e-betab jo is mein gire hain

zaqan jaanan ka para ka kuan hai

jaras ke sath dil rahte hain nalan

mere yusuf ka aashiq karwan hai

na kah rindon ko harf-e-saKHt waiz

durusht ahl-e-jahannum ki zaban hai

qad-e-mahbub ko shaer kahen sarw

qayamat ka ye ai 'atish' nishan hai

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now