ye manzar dekh kar sahil ki hairani nahin jati
ye manzar dekh kar sāhil kī hairānī nahīñ jaatī
mujhe chhū kar bhī koī mauj-e-tūfānī nahīñ jaatī
pareshānī agar hai to pareshānī kā hal bhī hai
pareshāñ-hāl rahne se pareshānī nahīñ jaatī
ye kaise log haiñ jo ā.īna pahchān lete haiñ
ki ab ham se to apnī shakl pahchānī nahīñ jaatī
bahut kanjūs haiñ āñkheñ mirī aañsū bahāne meñ
agarche daulat-e-ġham kī farāvānī nahīñ jaatī
ġham-e-duniyā se pahlū to mirā ābād rahtā hai
magar dil hai ki is kī ḳhāna-vīrānī nahīñ jaatī
ye manzar dekh kar sahil ki hairani nahin jati
mujhe chhu kar bhi koi mauj-e-tufani nahin jati
pareshani agar hai to pareshani ka hal bhi hai
pareshan-haal rahne se pareshani nahin jati
ye kaise log hain jo aaina pahchan lete hain
ki ab hum se to apni shakl pahchani nahin jati
bahut kanjus hain aankhen meri aansu bahane mein
agarche daulat-e-gham ki farawani nahin jati
gham-e-duniya se pahlu to mera aabaad rahta hai
magar dil hai ki is ki KHana-virani nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.