Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye mulaqat mulaqat nahin hoti hai

Hafeez Jalandhari

ye mulaqat mulaqat nahin hoti hai

Hafeez Jalandhari

ye mulāqāt mulāqāt nahīñ hotī hai

baat hotī hai magar baat nahīñ hotī hai

bāryābī burā ho ki ab un ke dar par

agle vaqtoñ mudārāt nahīñ hotī hai

ġham to ghanghor ghaTāoñ tarah uThte haiñ

zabt dasht hai barsāt nahīñ hotī hai

ye mirā tajraba hai husn koī chaal chale

bāzi-e-ishq kabhī maat nahīñ hotī hai

vasl hai naam ham-āhañgī o yak-rañgī

vasl meñ koī burī baat nahīñ hotī hai

hijr tanhā.ī hai sūraj hai savā neze par

din rahtā hai yahāñ raat nahīñ hotī hai

zabt-e-girya kabhī kartā huuñ to farmāte haiñ

aaj kyā baat hai barsāt nahīñ hotī hai

mujhe allāh qasam sher meñ tahsīn-e-butāñ

maiñ jo kartā huuñ merī zaat nahīñ hotī hai

fikr-e-taḳhlīq-e-suḳhan masnad-e-rāhat pe hafīz

bā.is-e-kashf-o-karāmāt nahīñ hotī hai

ye mulaqat mulaqat nahin hoti hai

baat hoti hai magar baat nahin hoti hai

baryabi ka bura ho ki ab un ke dar par

agle waqton ki mudaraat nahin hoti hai

gham to ghanghor ghaTaon ki tarah uThte hain

zabt ka dasht hai barsat nahin hoti hai

ye mera tajraba hai husn koi chaal chale

bazi-e-ishq kabhi mat nahin hoti hai

wasl hai nam ham-ahangi o yak-rangi ka

wasl mein koi buri baat nahin hoti hai

hijr tanhai hai suraj hai sawa neze par

din hi rahta hai yahan raat nahin hoti hai

zabt-e-girya kabhi karta hun to farmate hain

aaj kya baat hai barsat nahin hoti hai

mujhe allah ki qasam sher mein tahsin-e-butan

main jo karta hun meri zat nahin hoti hai

fikr-e-taKHliq-e-suKHan masnad-e-rahat pe hafiz

bais-e-kashf-o-karamat nahin hoti hai

Source :
  • Book : Kulliyat-e-Hafeez Jalandhari (Pg. 707)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now