Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye nikhaton ki narm-rawi ye hawa ye raat

Firaq Gorakhpuri

ye nikhaton ki narm-rawi ye hawa ye raat

Firaq Gorakhpuri

MORE BYFiraq Gorakhpuri

  ye nik.hatoñ narm-ravī ye havā ye raat

  yaad aa rahe haiñ ishq ko TuuTe ta.alluqāt

  māyūsiyoñ god meñ dam toḌtā hai ishq

  ab bhī koī banā le to bigḌī nahīñ hai baat

  kuchh aur bhī to ho in ishārāt ke sivā

  ye sab to ai nigāh-e-karam baat baat baat

  ik umr kaT ga.ī hai tire intizār meñ

  aise bhī haiñ ki kaT na sakī jin se ek raat

  ham ahl-e-intizār ke aahaT pe kaan the

  ThanDī havā thī ġham thā tirā Dhal chalī thī raat

  yuuñ to bachī bachī uThī vo nigāh-e-nāz

  duniyā-e-dil meñ ho ga.ī koī vārdāt

  jin surāġh na sakī ġham ruuh bhī

  nādāñ hue haiñ ishq meñ aise bhī sānehāt

  har sa.ī o har amal meñ mohabbat haath hai

  ta.amīr-e-zindagī ke samajh kuchh muharrikāt

  us tirī nigāh mujhe le ga.ī jahāñ

  letī ho jaise saañs ye be-jān kā.enāt

  kyā niiñd aa.e us ko jise jāgnā na aa.e

  jo din ko din kare vo kare raat ko bhī raat

  dariyā ke madd-o-jazr bhī paanī ke khel haiñ

  hastī ke karishme haiñ kyā maut kyā hayāt

  ahl-e-razā meñ shān-e-baġhāvat bhī ho zarā

  itnī bhī zindagī na ho pāband-e-rasmiyāt

  ham ahl-e-ġham ne rañg-e-zamāna badal diyā

  koshish to sabhī ne magar ban paḌe baat

  paidā kare zamīn na.ī āsmāñ nayā

  itnā to le koī asar-e-daur-kā.enāt

  shā.ir huuñ gahrī niiñd meñ haiñ jo haqīqateñ

  chauñkā rahe haiñ un ko bhī mere tavahhumāt

  mujh ko to ġham ne fursat-e-ġham bhī na 'firāq'

  de fursat-e-hayāt na jaise ġham-e-hayāt

  ye nikhaton ki narm-rawi ye hawa ye raat

  yaad aa rahe hain ishq ko TuTe talluqat

  mayusiyon ki god mein dam toDta hai ishq

  ab bhi koi bana le to bigDi nahin hai baat

  kuchh aur bhi to ho in ishaaraat ke siwa

  ye sab to ai nigah-e-karam baat baat baat

  ek umr kaT gai hai tere intizar mein

  aise bhi hain ki kaT na saki jin se ek raat

  hum ahl-e-intizar ke aahaT pe kan the

  ThanDi hawa thi gham tha tera Dhal chali thi raat

  yun to bachi bachi si uThi wo nigah-e-naz

  duniya-e-dil mein ho hi gai koi wardat

  jin ka suragh pa na saki gham ki ruh bhi

  nadan hue hain ishq mein aise bhi sanehat

  har sai o har amal mein mohabbat ka hath hai

  tamir-e-zindagi ke samajh kuchh muharrikat

  us ja teri nigah mujhe le gai jahan

  leti ho jaise sans ye be-jaan kaenat

  kya nind aae us ko jise jagna na aae

  jo din ko din kare wo kare raat ko bhi raat

  dariya ke madd-o-jazr bhi pani ke khel hain

  hasti hi ke karishme hain kya maut kya hayat

  ahl-e-raza mein shan-e-baghawat bhi ho zara

  itni bhi zindagi na ho paband-e-rasmiyat

  hum ahl-e-gham ne rang-e-zamana badal diya

  koshish to ki sabhi ne magar ban paDe ki baat

  paida kare zamin nai aasman naya

  itna to le koi asar-e-daur-kaenat

  shair hun gahri nind mein hain jo haqiqaten

  chaunka rahe hain un ko bhi mere tawahhumat

  mujh ko to gham ne fursat-e-gham bhi na di 'firaq'

  de fursat-e-hayat na jaise gham-e-hayat

  Source :
  • Book : Irtiqa, 36 Firaaq No. (Pg. 434)
  • Author : Hasan Abid, Wahid Bashiir, Rahat Sayeed,
  • Publication : Irtiqa Matbuaat, Karachi, (pakistan)
  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY

  Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

  GET YOUR PASS
  Speak Now