ye sach hai duniya bahut hasin hai
ye sach hai duniyā bahut hasīñ hai
magar mirī umr kī nahīñ hai
tirī jagah kaun le sakegā
tū merā pahlā tamāsh-bīñ hai
mujhī pe hai sochne kā zimma
use to har baat kā yaqīñ hai
bujhā hī rahtā hai dil hamārā
na jaane kis dhuup kā nagīñ hai
hai mujh pe ilzām-e-ḳhud-satā.ish
aur is meñ kuchh jhuuT bhī nahīñ hai
na rakh bahut hosh kī tavaqqo
ki ye mirā ishq-e-avvalīñ hai
ajab hai andāz-e-bandagī bhī
ki ham kahīñ aur saf kahīñ hai
ye sach hai duniya bahut hasin hai
magar meri umr ki nahin hai
teri jagah kaun le sakega
tu mera pahla tamash-bin hai
mujhi pe hai sochne ka zimma
use to har baat ka yaqin hai
bujha hi rahta hai dil hamara
na jaane kis dhup ka nagin hai
hai mujh pe ilzam-e-KHud-sataish
aur is mein kuchh jhuT bhi nahin hai
na rakh bahut hosh ki tawaqqo
ki ye mera ishq-e-awwalin hai
ajab hai andaz-e-bandagi bhi
ki hum kahin aur saf kahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.