ye to nahin farhad se yari nahin rakhte
ye to nahīñ farhād se yaarī nahīñ rakhte
ham log faqat zarbat-kārī nahīñ rakhte
qaidī bhī haiñ is shaan ke āzād tumhāre
zanjīr kabhī zulf se bhārī nahīñ rakhte
masrūf haiñ kuchh itne ki ham kār-e-mohabbat
āġhāz to kar lete haiñ jaarī nahīñ rakhte
jiite haiñ magar ziist ko āzār samajh kar
marte haiñ magar maut se yaarī nahīñ rakhte
mehmān-sarā dil kī girā dete haiñ pal meñ
ham sadqa-e-jārī ko bhī jaarī nahīñ rakhte
tanhā hī nikalte haiñ sar-e-kū-e-malāmat
hamrāh kabhī zillat-o-ḳhvārī nahīñ rakhte
ye to nahin farhad se yari nahin rakhte
hum log faqat zarbat-kari nahin rakhte
qaidi bhi hain is shan ke aazad tumhaare
zanjir kabhi zulf se bhaari nahin rakhte
masruf hain kuchh itne ki hum kar-e-mohabbat
aaghaz to kar lete hain jari nahin rakhte
jite hain magar zist ko aazar samajh kar
marte hain magar maut se yari nahin rakhte
mehman-sara dil ki gira dete hain pal mein
hum sadqa-e-jari ko bhi jari nahin rakhte
tanha hi nikalte hain sar-e-ku-e-malamat
hamrah kabhi zillat-o-KHwari nahin rakhte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.