yun ganwata hai koi jaan-e-aziz
yuuñ gañvātā hai koī jān-e-azīz
zindagī hotī to ham rakhte aziiz
kyā batā.eñ ab bikhar jaane ke ba.ad
āshiyāñ thā yā hameñ tinke aziiz
DhūñDhtā hai aaj kunj-e-āfiyat
dil kabhī jis ko the hañgāme aziiz
husn thā us shahr kā āvārgī
aur hameñ the paañv ke chhāle aziiz
ye na qissa hai na andāz-e-bayāñ
ye mirā ahvāl hai yār-e-azīz
ghar meñ jī lagtā nahīñ aur shahr ke
rāste lagte nahīñ apne aziiz
is tarah kyā ai ġhubār-e-dil koī
raqs kartā hai sar-e-kū-e-azīz
saa.e haiñ jitne gurezāñ dhuup se
dhuup ko haiñ utne hī saa.e aziiz
yā ta.alluq kuchh na thā yā aap ko
ġham hamāre ho ga.e itne aziiz
sāmne aate nahīñ aur ḳhvāb meñ
muñh chhupā lete haiñ duzdān-e-azīz
aañkh hai yā sair-gāh-e-roz-o-shab
vaqt hai yā jāda-e-umr-e-azīz
kyā ajab jo dard-o-ġham ruḳhsat hue
vo bhī the āḳhir 'rasā' apne aziiz
yun ganwata hai koi jaan-e-aziz
zindagi hoti to hum rakhte aziz
kya bataen ab bikhar jaane ke baad
aashiyan tha ya hamein tinke aziz
DhunDhta hai aaj kunj-e-afiyat
dil kabhi jis ko the hangame aziz
husn tha us shahr ka aawargi
aur hamein the panw ke chhaale aziz
ye na qissa hai na andaz-e-bayan
ye mera ahwal hai yar-e-aziz
ghar mein ji lagta nahin aur shahr ke
raste lagte nahin apne aziz
is tarah kya ai ghubar-e-dil koi
raqs karta hai sar-e-ku-e-aziz
sae hain jitne gurezan dhup se
dhup ko hain utne hi sae aziz
ya talluq kuchh na tha ya aap ko
gham hamare ho gae itne aziz
samne aate nahin aur KHwab mein
munh chhupa lete hain duzdan-e-aziz
aankh hai ya sair-gah-e-roz-o-shab
waqt hai ya jada-e-umr-e-aziz
kya ajab jo dard-o-gham ruKHsat hue
wo bhi the aaKHir 'rasa' apne aziz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.