Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yun mere hone ko mujh par aashkar usne kiya

Ameer Imam

yun mere hone ko mujh par aashkar usne kiya

Ameer Imam

yuuñ mire hone ko mujh par āshkār us ne kiyā

mujh meñ poshīda kisī dariyā ko paar us ne kiyā

pahle sahrā se mujhe laayā samundar taraf

naav par kāġhaz phir mujh ko savār us ne kiyā

maiñ thā ik āvāz mujh ko ḳhāmushī se toḌ kar

kirchiyoñ ko der tak merī shumār us ne kiyā

din chaḌhā to dhuup mujh ko salībeñ de gayā

raat aa.ī to mire bistar ko daar us ne kiyā

jis ko us ne raushnī samjhā thā merī dhuup thī

shaam hone mirī phir intizār us ne kiyā

der tak buntā rahā āñkhoñ ke karghe par mujhe

bun gayā jab maiñ to mujh ko taar taar us ne kiyā

yun mere hone ko mujh par aashkar us ne kiya

mujh mein poshida kisi dariya ko par us ne kiya

pahle sahra se mujhe laya samundar ki taraf

naw par kaghaz ki phir mujh ko sawar us ne kiya

main tha ek aawaz mujh ko KHamushi se toD kar

kirchiyon ko der tak meri shumar us ne kiya

din chaDha to dhup ki mujh ko saliben de gaya

raat aai to mere bistar ko dar us ne kiya

jis ko us ne raushni samjha tha meri dhup thi

sham hone ka meri phir intizar us ne kiya

der tak bunta raha aankhon ke karghe par mujhe

bun gaya jab main to mujh ko tar tar us ne kiya

RECITATIONS

Ameer Imam

Ameer Imam,

00:00/00:00
Ameer Imam

yun mere hone ko mujh par aashkar usne kiya Ameer Imam

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now