yun pareshan kabhi hum bhi to na the
yuuñ pareshāñ kabhī ham bhī to na the
aise is zulf meñ ḳham bhī to na the
sair-e-gulshan ko ga.e the jab aap
yaad to kījiye ham bhī to na the
ham se be-jurm vo kūcha chhūTā
shā.eq-e-bāġh-e-iram bhī to na the
rahm kartā na falak kyā kartā
ham sazā-vār-e-sitam bhī to na the
rahte ka.abe meñ akele kyā ham
dil lagāne ko sanam bhī to na the
haath kyuuñ sar pe hamāre rakkhā
tum se ḳhvāhān-e-qasam bhī to na the
yun pareshan kabhi hum bhi to na the
aise is zulf mein KHam bhi to na the
sair-e-gulshan ko gae the jab aap
yaad to kijiye hum bhi to na the
hum se be-jurm wo kucha chhuTa
shaeq-e-bagh-e-iram bhi to na the
rahm karta na falak kya karta
hum saza-war-e-sitam bhi to na the
rahte kabe mein akele kya hum
dil lagane ko sanam bhi to na the
hath kyun sar pe hamare rakkha
tum se KHwahan-e-qasam bhi to na the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.