Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yun uTha de hamare ji se gharaz

Hafeez Jaunpuri

yun uTha de hamare ji se gharaz

Hafeez Jaunpuri

MORE BYHafeez Jaunpuri

    yuuñ uThā de hamāre se ġharaz

    ho na tere sivā kisī se ġharaz

    vo manā.egā jis se rūThe ho

    ham ko minnat se ājizī se ġharaz

    ye bhī ehsān hai qanā.at

    apnī aTkī nahīñ kisī se ġharaz

    ye mahal bhī maqām-e-ibrat hai

    aadmī ko ho aadmī se ġharaz

    dard-mandoñ ko kyā davā se kaam

    ġham-nasīboñ ko kyā ḳhushī se ġharaz

    husn ārā.ishoñ ho muhtāj

    us ko ā.īne aarsī se ġharaz

    chuur haiñ nashsha-e-mohabbat meñ

    mai se matlab na mai-kashī se ġharaz

    der tak diid ke maze luuTe

    ḳhuub niklī ye be-ḳhudī se ġharaz

    be-niyāzī shaan ye nahīñ

    us ko bandoñ bandī se ġharaz

    terī ḳhātir aziiz hai varna

    mujh ko dushman dostī se ġharaz

    ham mohabbat ke bande haiñ vaa.iz

    ham ko kyā bahs maz.habī se ġharaz

    dair ho ka.aba ho kalīsā ho

    us dhun us bandagī se ġharaz

    shaiḳh ko is qadar pilāte kyuuñ

    mai-kashoñ ko thī dil-lagī se ġharaz

    us ko samjho na hazz-e-nafs 'hafīz'

    aur kuchh hai shā.irī se ġharaz

    yun uTha de hamare ji se gharaz

    ho na tere siwa kisi se gharaz

    wo manaega jis se ruThe ho

    hum ko minnat se aajizi se gharaz

    ye bhi ehsan hai qanaat ka

    apni aTki nahin kisi se gharaz

    ye mahal bhi maqam-e-ibrat hai

    aadmi ko ho aadmi se gharaz

    dard-mandon ko kya dawa se kaam

    gham-nasibon ko kya KHushi se gharaz

    husn aaraishon ka ho muhtaj

    us ko aaine aarsi se gharaz

    chur hain nashsha-e-mohabbat mein

    mai se matlab na mai-kashi se gharaz

    der tak did ke maze luTe

    KHub nikli ye be-KHudi se gharaz

    be-niyazi ki shan hi ye nahin

    us ko bandon ki bandi se gharaz

    teri KHatir aziz hai warna

    mujh ko dushman ki dosti se gharaz

    hum mohabbat ke bande hain waiz

    hum ko kya bahs mazhabi se gharaz

    dair ho kaba ho kalisa ho

    us ki dhun us ki bandagi se gharaz

    shaiKH ko is qadar pilate kyun

    mai-kashon ko thi dil-lagi se gharaz

    us ko samjho na hazz-e-nafs 'hafiz'

    aur hi kuchh hai shairi se gharaz

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Hafeez Jaunpuri (Pg. Ghazal Number-96 Page Number-123)
    • Author : Tufail Ahmad Ansari
    • Publication : Qaumi Council Baraye Farogh-e-urdu Zaban (2010)
    • Edition : 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now