zara zara si kai kashtiyan bana lena
zarā zarā sī ka.ī kashtiyāñ banā lenā
vo ab ke aa.e to bachpan rafū karā lenā
tamāzatoñ meñ mire ġham ke saa.e meñ chalnā
añdherā ho to mirā hausla jalā lenā
shurūa meñ maiñ bhī ise raushnī samajhtā thā
ye zindagī hai ise haath mat lagā lenā
maiñ koī fard nahīñ huuñ ki bojh ban jā.ūñ
ik ishtihār huuñ dīvār par lagā lenā
rafāqatoñ kā tavāzun agar bigaḌ jaa.e
ḳhamoshiyoñ ke ta.āvun se ghar chalā lenā
zara zara si kai kashtiyan bana lena
wo ab ke aae to bachpan rafu kara lena
tamazaton mein mere gham ke sae mein chalna
andhera ho to mera hausla jala lena
shurua mein main bhi ise raushni samajhta tha
ye zindagi hai ise hath mat laga lena
main koi fard nahin hun ki bojh ban jaun
ek ishtihaar hun diwar par laga lena
rafaqaton ka tawazun agar bigaD jae
KHamoshiyon ke taawun se ghar chala lena
- Book : Chandi Ka waraq (Pg. 125)
- Author : Ahmad Kamal Parvazi
- Publication : Surkhwab Publication (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.