Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zer-e-zamin hun tishna-e-didar-e-yar ka

Mirza Raza Barq

zer-e-zamin hun tishna-e-didar-e-yar ka

Mirza Raza Barq

zer-e-zamīñ huuñ tishna-e-dīdār-e-yār

aalam vahī hai aaj talak intizār

guzrā sharāb piine se le kaun dard-e-sar

saaqī dimāġh kis ko hai ranj-e-ḳhumār

mahshar ke roz bhī na khulegī hamārī aañkh

sadma uThā chuke haiñ shab-e-intizār

ibrat hai ālam-e-duniyā na kar ġhurūr

sar kāsa-e-gadā hai kisī tājdār

bād-e-fanā bhī hai maraz-e-ishq asar

dekho ki rañg zard hai mere ġhubār

ulfat na kuchh parī se na kuchh huur se hai ishq

mushtāq 'barq' roz-e-azal se hai yaar

zer-e-zamin hun tishna-e-didar-e-yar ka

aalam wahi hai aaj talak intizar ka

guzra sharab pine se le kaun dard-e-sar

saqi dimagh kis ko hai ranj-e-KHumar ka

mahshar ke roz bhi na khulegi hamari aankh

sadma uTha chuke hain shab-e-intizar ka

ibrat ki ja hai aalam-e-duniya na kar ghurur

sar kasa-e-gada hai kisi tajdar ka

baad-e-fana bhi hai maraz-e-ishq ka asar

dekho ki rang zard hai mere ghubar ka

ulfat na kuchh pari se na kuchh hur se hai ishq

mushtaq 'barq' roz-e-azal se hai yar ka

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now