zikr aae to mere lab se duaen niklen
zikr aa.e to mire lab se duā.eñ nikleñ
sham.a jaltī hai to lāzim hai shuā.eñ nikleñ
vaqt kī zarb se kaT jaate haiñ sab ke siine
chāñd kā chhalkā utar jaa.e to qāsheñ nikleñ
dafn ho jaa.eñ ki zarḳhez zamīñ lagtī hai
kal isī miTTī se shāyad mirī shāḳheñ nikleñ
chand ummīdeñ nichoḌī thiiñ to aaheñ Tapkīñ
dil ko pighlā.eñ to ho saktā hai sāñseñ nikleñ
ġhaar ke muñh pe rakhā rahne do sañg-e-ḳhurshīd
ġhaar meñ haath na Daalo kahīñ rāteñ nikleñ
zikr aae to mere lab se duaen niklen
shama jalti hai to lazim hai shuaen niklen
waqt ki zarb se kaT jate hain sab ke sine
chand ka chhalka utar jae to qashen niklen
dafn ho jaen ki zarKHez zamin lagti hai
kal isi miTTi se shayad meri shaKHen niklen
chand ummiden nichoDi thin to aahen Tapkin
dil ko pighlaen to ho sakta hai sansen niklen
ghaar ke munh pe rakha rahne do sang-e-KHurshid
ghaar mein hath na Dalo kahin raaten niklen
- Book : Chand Pukhraj Ka (Pg. 187)
- Author : Gulzar
- Publication : Roopa And Company (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.