zikr bhi us se kya bhala mera
zikr bhī us se kyā bhalā merā
us se rishta hī kyā rahā merā
aaj mujh ko bahut burā kah kar
aap ne naam to liyā merā
āḳhirī baat tum se kahnā hai
yaad rakhnā na tum kahā merā
ab to kuchh bhī nahīñ huuñ maiñ vaise
kabhī vo bhī thā mubtalā merā
vo bhī manzil talak pahuñch jaatā
us ne DhūñDā nahīñ patā merā
tujh se mujh ko najāt mil jaa.e
to duā kar ki ho bhalā merā
kyā batā.ūñ bichhaḌ gayā yārāñ
ek bilqīs se sabā merā
zikr bhi us se kya bhala mera
us se rishta hi kya raha mera
aaj mujh ko bahut bura kah kar
aap ne nam to liya mera
aaKHiri baat tum se kahna hai
yaad rakhna na tum kaha mera
ab to kuchh bhi nahin hun main waise
kabhi wo bhi tha mubtala mera
wo bhi manzil talak pahunch jata
us ne DhunDa nahin pata mera
tujh se mujh ko najat mil jae
to dua kar ki ho bhala mera
kya bataun bichhaD gaya yaran
ek bilqis se saba mera
- Book : Gumaan (Poetry) (Pg. 55)
- Author : Jaun Elia
- Publication : Takhleeqar Publishers (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.