Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindan-e-subh-o-sham mein tu bhi hai main bhi hun

Akbar Hyderabadi

zindan-e-subh-o-sham mein tu bhi hai main bhi hun

Akbar Hyderabadi

zindān-e-sub.h-o-shām meñ bhī hai maiñ bhī huuñ

ik gardish-e-mudām meñ bhī hai maiñ bhī huuñ

be-farsh-o-bām silsila-e-kā.enāt ke

is be-sutūñ nizām meñ bhī hai maiñ bhī huuñ

be-sāl-o-sin zamānoñ meñ phaile hue haiñ ham

be-rañg-o-nasl naam meñ bhī hai maiñ bhī huuñ

is dā.imī hisār meñ ham ko mafar kahāñ

zarroñ ke azhdahām meñ bhī hai maiñ bhī huuñ

har tīrah-fām sub.h virsa hai mushtarak

har nūr-dīda shaam meñ bhī hai maiñ bhī huuñ

zindan-e-subh-o-sham mein tu bhi hai main bhi hun

ek gardish-e-mudam mein tu bhi hai main bhi hun

be-farsh-o-baam silsila-e-kaenat ke

is be-sutun nizam mein tu bhi hai main bhi hun

be-sal-o-sin zamanon mein phaile hue hain hum

be-rang-o-nasl nam mein tu bhi hai main bhi hun

is daimi hisar mein hum ko mafar kahan

zarron ke azhdaham mein tu bhi hai main bhi hun

har tirah-fam subh ka wirsa hai mushtarak

har nur-dida sham mein tu bhi hai main bhi hun

Source :
  • Book : Urdu Gazal ka Magribi Daricha (Pg. 177)
  • Author : Dr. Jawaz Jafri
  • Publication : Kitab Saray, Lahore (2011)
  • Edition : 2011
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now