Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

muTThi bhar logon ke hathon mein lakhon ki taqdiren hain

Nida Fazli

muTThi bhar logon ke hathon mein lakhon ki taqdiren hain

Nida Fazli

MORE BYNida Fazli

    muTThī bhar logoñ ke hāthoñ meñ lākhoñ taqdīreñ haiñ

    judā judā haiñ dharm ilāqe ek lekin zanjīreñ haiñ

    aaj aur kal baat nahīñ hai sadiyoñ tārīḳh yahī hai

    har āñgan meñ ḳhvāb haiñ lekin chand gharoñ meñ ta.abīreñ haiñ

    jab bhī koī taḳht sajā hai merā terā ḳhuun bahā hai

    darbāroñ shān-o-shaukat maidānoñ shamshīreñ haiñ

    har jañgal ek kahānī vo bheñT vahī qurbānī

    gūñgī bahrī saarī bheḌeñ charvāhoñ jāgīreñ haiñ

    muTThi bhar logon ke hathon mein lakhon ki taqdiren hain

    juda juda hain dharm ilaqe ek si lekin zanjiren hain

    aaj aur kal ki baat nahin hai sadiyon ki tariKH yahi hai

    har aangan mein KHwab hain lekin chand gharon mein tabiren hain

    jab bhi koi taKHt saja hai mera tera KHun baha hai

    darbaron ki shan-o-shaukat maidanon ki shamshiren hain

    har jangal ki ek kahani wo hi bhenT wahi qurbani

    gungi bahri sari bheDen charwahon ki jagiren hain

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    muTThi bhar logon ke hathon mein lakhon ki taqdiren hain Nomaan Shauque

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now