Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagi-bhar ek hi kar-e-hunar karte rahe

Ambareen Haseeb ambar

zindagi-bhar ek hi kar-e-hunar karte rahe

Ambareen Haseeb ambar

MORE BYAmbareen Haseeb ambar

    zindagī-bhar ek kār-e-hunar karte rahe

    ik gharauñdā ret thā jis ko ghar karte rahe

    ham ko bhī ma.alūm thā anjām kyā hogā magar

    shahr-e-kūfa taraf ham bhī safar karte rahe

    uḌ ga.e saare parinde mausamoñ chaah meñ

    intizār un magar būḌhe shajar karte rahe

    yuuñ to ham bhī kaun zinda rahe is shahr meñ

    zinda hone adākārī magar karte rahe

    aañkh rah taktī rahī dil us ko samjhātā rahā

    apnā apnā kaam donoñ umr-bhar karte rahe

    ik nahīñ ḳhauf thā so ham ne pūchhā nahīñ

    yaad kyā ham ko bhī vo dīvār-o-dar karte rahe

    zindagi-bhar ek hi kar-e-hunar karte rahe

    ek gharaunda ret ka tha jis ko ghar karte rahe

    hum ko bhi malum tha anjam kya hoga magar

    shahr-e-kufa ki taraf hum bhi safar karte rahe

    uD gae sare parinde mausamon ki chah mein

    intizar un ka magar buDhe shajar karte rahe

    yun to hum bhi kaun sa zinda rahe is shahr mein

    zinda hone ki adakari magar karte rahe

    aankh rah takti rahi dil us ko samjhata raha

    apna apna kaam donon umr-bhar karte rahe

    ek nahin ka KHauf tha so hum ne puchha hi nahin

    yaad kya hum ko bhi wo diwar-o-dar karte rahe

    Source:

    Dil Kay Ufuq Par (Pg. 127)

    • Author: Ambareen Haseeb Amber
      • Edition: 2012
      • Publisher: Kitab Market ,Office 17 Urdu Bazar, Karachi, Pakistan
      • Year of Publication: 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now