aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagi yun bhi guzari ja rahi hai

Azm Shakri

zindagi yun bhi guzari ja rahi hai

Azm Shakri

MORE BYAzm Shakri

    zindagī yuuñ bhī guzārī rahī hai

    jaise koī jañg haarī rahī hai

    jis jagah pahle ke zaḳhmoñ ke nishāñ meñ

    phir vahīñ par choT maarī rahī hai

    vaqt-e-ruḳhsat āb-dīda aap kyuuñ haiñ

    jism se to jaañ hamārī rahī hai

    bol kar tārīf meñ kuchh lafz us

    shaḳhsiyat apnī nikhārī rahī hai

    dhuup ke dastāne hāthoñ meñ pahan kar

    barf chādar utārī rahī hai

    zindagi yun bhi guzari ja rahi hai

    jaise koi jang haari ja rahi hai

    jis jagah pahle ke zaKHmon ke nishan mein

    phir wahin par choT mari ja rahi hai

    waqt-e-ruKHsat aab-dida aap kyun hain

    jism se to jaan hamari ja rahi hai

    bol kar tarif mein kuchh lafz us ki

    shaKHsiyat apni nikhaari ja rahi hai

    dhup ke dastane hathon mein pahan kar

    barf ki chadar utari ja rahi hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now