Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zulfen chhoDin hain ki joDa usne chhoDa sanp ka

Rind Lakhnavi

zulfen chhoDin hain ki joDa usne chhoDa sanp ka

Rind Lakhnavi

MORE BYRind Lakhnavi

    zulfeñ chhoḌīñ haiñ ki joḌā us ne chhoḌā saañp

    dekhiye kis kis ko Dastā hai ye joḌā saañp

    gore gāloñ par tire zulfeñ ye lahrātī nahīñ

    yāsmīñ-zār-e-sabāhat meñ hai joḌā saañp

    ishq un zulfoñ mujh se tark hone nahīñ

    hai mirā ham-zād ai nāseh ye joḌā saañp

    donoñ zulfeñ yaar ulTī haiñ bāloñ par mire

    vajd kartā hai sadā-e-nai ye joḌā saañp

    muñD ga.iiñ zulfeñ haiñ shā.er kis se ab deñge misāl

    ho gayā tashbīh ḳhātir bhī toḌā saañp

    umr bhar dil ko ḳhayāl-e-gesū-e-pechāñ rahā

    dhyān is nādān ne hargiz na chhoḌā saañp

    nuqra.ī mūbāf choTī meñ rahā un sadā

    keñchulī ne umr bhar pīchhā na chhoḌā saañp

    paḌ ga.ī īzā-dahandī tirī zulfoñ ko ḳhū

    kāTtā hai uḌ ke āshiq ko ye joḌā saañp

    kuchh samajh kar rahā huuñ yaar zulfoñ dāsht

    pāltā huuñ apne kaTvāne ko joḌā saañp

    shaam se un gesuoñ yaad meñ jo so rahā

    ḳhvāb meñ dekhā kiyā tā-sub.h joḌā saañp

    ishq meñ gesū o abrū ke agar denī hai jaan

    nīsh-e-aqrab khā ke le zahr thoḌā saañp

    vāste muuzī ke āḳhir meñ bhī muuzī ban gayā

    sar kisī hālat meñ be-kuchle na chhoḌā saañp

    ishq-e-gesū meñ na qatra bhī talaf hone diyā

    zahr saarā halaq meñ maiñ ne nichoḌā saañp

    ḳhat pe aate haiñ bahut lahrā ke gesū yaar ke

    sabza-e-nau-ḳhez par ġhash hai ye joḌā saañp

    halqa-e-gesū-e-shab ko zarra-e-afshāñ chunī

    raat ko chun chun ke ik ik daañt toḌā saañp

    har qadam par maar kar sar kar rahā hai nāg-pech

    ab chalan sīkhā hai is muuzī ne thoḌā saañp

    dushman-e-jānī ko apne na iizā 'rind' ne

    daañt toḌā na chhālā us ne phoḌā saañp

    zulfen chhoDin hain ki joDa us ne chhoDa sanp ka

    dekhiye kis kis ko Dasta hai ye joDa sanp ka

    gore galon par tere zulfen ye lahraati nahin

    yasmin-zar-e-sabahat mein hai joDa sanp ka

    ishq un zulfon ka mujh se tark hone ka nahin

    hai mera ham-zad ai naseh ye joDa sanp ka

    donon zulfen yar ki ulTi hain baalon par mere

    wajd karta hai sada-e-nai ye joDa sanp ka

    munD gain zulfen hain shaer kis se ab denge misal

    ho gaya tashbih ki KHatir bhi toDa sanp ka

    umr bhar dil ko KHayal-e-gesu-e-pechan raha

    dhyan is nadan ne hargiz na chhoDa sanp ka

    nuqrai mubaf choTi mein raha un ki sada

    kenchuli ne umr bhar pichha na chhoDa sanp ka

    paD gai iza-dahandi ki teri zulfon ko KHu

    kaTta hai uD ke aashiq ko ye joDa sanp ka

    kuchh samajh kar raha hun yar ki zulfon ki dasht

    palta hun apne kaTwane ko joDa sanp ka

    sham se un gesuon ki yaad mein jo so raha

    KHwab mein dekha kiya ta-subh joDa sanp ka

    ishq mein gesu o abru ke agar deni hai jaan

    nish-e-aqrab kha ke pi le zahr thoDa sanp ka

    waste muzi ke aaKHir mein bhi muzi ban gaya

    sar kisi haalat mein be-kuchle na chhoDa sanp ka

    ishq-e-gesu mein na qatra bhi talaf hone diya

    zahr sara halaq mein main ne nichoDa sanp ka

    KHat pe aate hain bahut lahra ke gesu yar ke

    sabza-e-nau-KHez par ghash hai ye joDa sanp ka

    halqa-e-gesu-e-shab ko zarra-e-afshan chuni

    raat ko chun chun ke ek ek dant toDa sanp ka

    har qadam par mar kar sar kar raha hai nag-pech

    ab chalan sikha hai is muzi ne thoDa sanp ka

    dushman-e-jaani ko apne di na iza 'rind' ne

    dant hi toDa na chhaala us ne phoDa sanp ka

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now