Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gul tha bulbul thi gulistan mein magar tu hi na tha

Ajmal Siddiqui

gul tha bulbul thi gulistan mein magar tu hi na tha

Ajmal Siddiqui

MORE BYAjmal Siddiqui

    gul thā bulbul thī gulistāñ meñ magar na thā

    kyā gulistāñ vo gulistāñ thā agar na thā

    shor-o-hañgāma to āshiq ko nahīñ detā hai zeb

    sab zaḳhmī the vahāñ zer-o-zabar na thā

    rang kitne the magar tujh ko na thā shauq-e-hayāt

    ham-safar kitne the mushtāq-e-safar na thā

    chaah shohrat ki na kar par yuuñ rusvā to na ho

    terī ḳhātir thī sajī bazm-e-hunar na thā

    kaisā manzar ho binā nūr-e-nazar kuchh bhī nahīñ

    kaise manzar the par ai nūr-e-nazar na thā

    mujh ko ḳhadsha thā ki jaadū hai par chhū liyā

    vahī āḳhir ko huā jis thā Dar na thā

    āshnā thā sheroñ ke ishāroñ se mire

    kyā phir kartā bhalā arz-e-hunar na thā

    gul tha bulbul thi gulistan mein magar tu hi na tha

    kya gulistan wo gulistan tha agar tu hi na tha

    shor-o-hangama to aashiq ko nahin deta hai zeb

    sab hi zaKHmi the wahan zer-o-zabar tu hi na tha

    rang kitne the magar tujh ko na tha shauq-e-hayat

    ham-safar kitne the mushtaq-e-safar tu hi na tha

    chah shohrat ki na kar par tu yun ruswa to na ho

    teri KHatir thi saji bazm-e-hunar tu hi na tha

    kaisa manzar ho bina nur-e-nazar kuchh bhi nahin

    kaise manzar the par ai nur-e-nazar tu hi na tha

    mujh ko KHadsha tha ki tu jadu hai par chhu hi liya

    wahi aaKHir ko hua jis ka tha Dar tu hi na tha

    aashna tu hi tha sheron ke ishaaron se mere

    kya hi phir karta bhala arz-e-hunar tu hi na tha

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now