Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamd

MORE BYAltaf Hussain Hali

    ai zamiin aasmaan ke maalik

    saarii duniyaa jahaan ke maalik

    tere qabze me.n sab KHudaa.ii hai

    tere hii vaaste ba.Daa.ii hai

    aa.ii mausam se tang jab KHilqat

    tuu ne mausam kii dii badal suurat

    garmiyaa.n ho ga.ii.n ajiiran jab

    tuu ne barsaat bhej dii yaa-rab

    sab ke garmii se the KHataa ausaan

    me.nh barasne se aa.ii jaan me.n jaan

    ga.e jab log me.nh se sab ghabraa

    hukm se tere chal pa.Dii pachhu.aa

    jaa.Daa aa pahu.nchaa aur ga.ii barsaat

    dam ke dam me.n badal ga.e din-raat

    phir lagii pa.Dne jab bahut sardii

    mushkil aasaan tuu ne phir kardii

    jaa.Daa aaKHir hu.aa aur aa.ii bahaar

    jangal aur Tiile ho ga.e gulzaar

    tuu yuu.nhii rut pe rut badaltaa rahaa

    yuu.nhii duniyaa kaa kaam chaltaa rahaa

    ai zamiin aasmaan ke maalik

    saarii duniyaa jahaan ke maalik

    tere qabze me.n sab KHudaa.ii hai

    tere hii vaaste ba.Daa.ii hai

    aa.ii mausam se tang jab KHilqat

    tuu ne mausam kii dii badal suurat

    garmiyaa.n ho ga.ii.n ajiiran jab

    tuu ne barsaat bhej dii yaa-rab

    sab ke garmii se the KHataa ausaan

    me.nh barasne se aa.ii jaan me.n jaan

    ga.e jab log me.nh se sab ghabraa

    hukm se tere chal pa.Dii pachhu.aa

    jaa.Daa aa pahu.nchaa aur ga.ii barsaat

    dam ke dam me.n badal ga.e din-raat

    phir lagii pa.Dne jab bahut sardii

    mushkil aasaan tuu ne phir kardii

    jaa.Daa aaKHir hu.aa aur aa.ii bahaar

    jangal aur Tiile ho ga.e gulzaar

    tuu yuu.nhii rut pe rut badaltaa rahaa

    yuu.nhii duniyaa kaa kaam chaltaa rahaa

    Source:

    Bachon Ke Hali (Pg. 8)

    • Author: Altaf Hussain Hali
      • Publisher: Urdu Ghar, Aligarh
      • Year of Publication: 1965

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now