tumhaare panw ke niche koi zamin nahin
tumhāre paañv ke nīche koī zamīn nahīñ
kamāl ye hai ki phir bhī tumheñ yaqīn nahīñ
maiñ be-panāh añdheroñ ko sub.h kaise kahūñ
maiñ in nazāroñ kā andhā tamāshbīn nahīñ
tirī zabān hai jhūTī jamhūriyat kī tarah
tū ik zalīl sī gaalī se behtarīn nahīñ
tumhīñ se pyaar jatā.eñ tumhīñ ko khā jaa.eñ
adiib yuuñ to siyāsī haiñ par kamīn nahīñ
tujhe qasam hai ḳhudī ko bahut halāk na kar
tū is machine kā purza hai tū machine nahīñ
bahut mash.hūr hai aa.eñ zarūr aap yahāñ
ye mulk dekhne laa.eq to hai hasīn nahīñ
zarā sā taur-tarīqoñ meñ her-pher karo
tumhāre haath meñ collar ho āstīn nahīñ
tumhaare panw ke niche koi zamin nahin
kamal ye hai ki phir bhi tumhein yaqin nahin
main be-panah andheron ko subh kaise kahun
main in nazaron ka andha tamashbin nahin
teri zaban hai jhuTi jamhuriyat ki tarah
tu ek zalil si gali se behtarin nahin
tumhin se pyar jataen tumhin ko kha jaen
adib yun to siyasi hain par kamin nahin
tujhe qasam hai KHudi ko bahut halak na kar
tu is machine ka purza hai tu machine nahin
bahut mashhur hai aaen zarur aap yahan
ye mulk dekhne laeq to hai hasin nahin
zara sa taur-tariqon mein her-pher karo
tumhaare hath mein collar ho aastin nahin
- Book : Saye mein dhoop (Pg. 64)
- Author : Dushyant Kumar
- Publication : Radha krishna Prakashan.Pvt.Ltd (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.