Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gharelu mansuba-bandi

Raza Naqvi Vahi

gharelu mansuba-bandi

Raza Naqvi Vahi

ab ke begam mirī maike se jo vāpas aa.iiñ

ek murġhī bhī ba-sad shauq vahāñ se lā.īñ

maiñ ne pūchhā ki mirī jaan irāda kyā hai

tan ke bolīñ ki mujhe aap ne samjhā kyā hai

zehn ne mere banā.ī hai ik aisī scheme

dañg hoñ sun ke jise ilm-e-ma.īshat ke hakīm

aap bāzār se anDe to zarā dauḌ ke laa.eñ

taaki ham jald se jald aaj murġhī ko biThā.eñ

tiin haftoñ meñ nikal ā.eñge chūze saare

to sahī aap ko pyaar aa.e vo pyāre pyāre

chhe mahīne meñ javāñ ho ke vahī murġh-bachche

nasl phailāte chale jā.eñge dhīre dhīre

dekh lījegā ba-tā.īd-e-ḳhudā-e-dānā

poultry-form banegā mirā murġhī-ḳhāna

poultry-form meñ anDoñ tijārat hogī

daur-e-usrat isī murġhī badaulat hogī

maiñ vo aurat huuñ ki hikmat mirī mardoñ ko charā.e

inhīñ paisoñ se ḳharīdūñgī maiñ kuchh bhaiñseñ aur gaay

dairy-farm banegā vo taraqqī hogī

jū-e-shīr aap añgnā.ī meñ bahtī hogī

aql baat batātī huuñ achambhā kyā hai

duudh se aap ko nahlā.ūñgī samjhā kyā hai

bachche tarseñge na makkhan ke liye ghī ke liye

aap daftar meñ na sar māreñge daftar ke liye

mere ḳhvāboñ ke tasadduq meñ ba-shart-e-ta.amīl

chand saal meñ ho jā.egī duniyā tabdīl

sehr tadbīr taqdīr pe chal jā.egā

jhoñpaḌā aap koThī meñ badal jā.egā

al-ġharaz hotī rahī baat yahī tā-sar-e-shām

nau baje raat ko sone jo aayā hañgām

so ga.iiñ rakh ke hifāzat se use zer-e-palañg

ḳhvāb meñ aatī rahī nashsha-e-daulat tarañg

sun rahī thī koī billī bhī hamārī bāteñ

pyārī begam vo dilchasp vo pyārī bāteñ

raat aadhī bhī nahīñ guzrī thī ki ik shor machā

chīḳh murġhī sunī niiñd se maiñ chauñk paḌā

aañkh maltā huā uTThā to ye naqsha paayā

us bichārī ko sahanchī meñ taḌaptā paayā

daañt billī ne gaḌā.e the jo gardan ke qarīb

mar ga.ī chand lamhoñ meñ phaḌak kar vo ġharīb

sub.h ke vaqt ġharaz ghar ye naqsha dekhā

chehra begam kisī soch meñ laTkā dekhā

roTī bachchoñ ne jo māñgī to do hatthaḌ maarā

ise ghūñsa use chāñTā use thappaḌ maarā

ab ke begam meri maike se jo wapas aain

ek murghi bhi ba-sad shauq wahan se lain

main ne puchha ki meri jaan irada kya hai

tan ke bolin ki mujhe aap ne samjha kya hai

zehn ne mere banai hai ek aisi scheme

dang hon sun ke jise ilm-e-maishat ke hakim

aap bazar se anDe to zara dauD ke laen

taki hum jald se jald aaj hi murghi ko biThaen

tin hafton mein nikal aaenge chuze sare

to sahi aap ko pyar aae wo pyare pyare

chhe mahine mein jawan ho ke wahi murgh-bachche

nasl phailate chale jaenge dhire dhire

dekh lijega ba-taid-e-KHuda-e-dana

poultry-form banega mera murghi-KHana

poultry-form mein anDon ki tijarat hogi

daur-e-usrat isi murghi ki badaulat hogi

main wo aurat hun ki hikmat meri mardon ko charae

inhin paison se KHaridungi main kuchh bhainsen aur gay

dairy-farm banega wo taraqqi hogi

ju-e-shir aap hi angnai mein bahti hogi

aql ki baat batati hun achambha kya hai

dudh se aap ko nahlaungi samjha kya hai

bachche tarsenge na makkhan ke liye ghi ke liye

aap daftar mein na sar marenge daftar ke liye

mere KHwabon ke tasadduq mein ba-shart-e-tamil

chand hi sal mein ho jaegi duniya tabdil

sehr tadbir ka taqdir pe chal jaega

jhonpaDa aap ka koThi mein badal jaega

al-gharaz hoti rahi baat yahi ta-sar-e-sham

nau baje raat ko sone ka jo aaya hangam

so gain rakh ke hifazat se use zer-e-palang

KHwab mein aati rahi nashsha-e-daulat ki tarang

sun rahi thi koi billi bhi hamari baaten

pyari begam ki wo dilchasp wo pyari baaten

raat aadhi bhi nahin guzri thi ki ek shor macha

chiKH murghi ki suni nind se main chaunk paDa

aankh malta hua uTTha to ye naqsha paya

us bichaari ko sahanchi mein taDapta paya

dant billi ne gaDae the jo gardan ke qarib

mar gai chand hi lamhon mein phaDak kar wo gharib

subh ke waqt gharaz ghar ka ye naqsha dekha

chehra begam ka kisi soch mein laTka dekha

roTi bachchon ne jo mangi to do hatthaD mara

ise ghunsa use chanTa use thappaD mara

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now