ik roz jā rahe the kahīñ cycle se ham
pahuñche jo ek moḌ pe nāzil huā sitam
pedal se cycle ke jo paaoñ ukhaḌ ga.e
ham jā ke ek shoḳh hasīna se laḌ ga.e
sambhlī jo vo to hatthe se fauran ukhaḌ ga.ī
goyā huī to jaise havāoñ se laḌ ga.ī
kahne lagī ki andhe haiñ aatā nahīñ nazar
ye harkateñ janāb kī ye rīsh-e-mo'atabar
phirte haiñ kyā sharīfoñ kī sūrat banā ke aap
yuuñ auratoñ pe girte haiñ dāḌhī rakhā ke aap
ham ne kahā ki thuuk do ġhusse ko nāznīñ
cycle laḌī hai tum se ye dāḌhī laḌī nahīñ
dāḌhī kā naam le ke hameñ kyoñ ho Toktī
dāḌhī koī break hai jo cycle ko roktī