Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aadmi ka

ġham-e-musalsal is tapish meñ ki jism jal jaa.e aadmī

hañsī halkī phuvār bhī ho to kaam chal jaa.e aadmī

maze gar zarā bhī his hai na hañsī ko aur qahqahe ko chhoḌo

chaman meñ gar phuul muskurā de to dil bahal jaa.e aadmī

musībatoñ muqābla jo hamesha hañste hue karegā

jo vaqt-e-mushkil hai aane vaalā to vo bhī Tal jaa.e aadmī

kisī ko girne se Toknā mat durusht lahje meñ yaad rakho

tabassum-āmez ho nasīhat qadam sañbhal jaa.e aadmī

zamāna achchhā guzar gayā to ye din bure bhī nahīñ raheñge

na ho agar ye qarīb paiham to dam nikal jaa.e aadmī

gunāhgāroñ aur āsiyoñ ko azāb-e-dozaḳh se vā.izo tum

Darāo be-shak magar na itnā ki dil dahal jaa.e aadmī

ibādatoñ ke muāvze meñ milegī jo ābidoñ ko jannat

tum us naqsha kuchh aisā khīñcho ki dil phisal jaa.e aadmī

naza.a se pahle kare jo tauba vo apnī rahmat se baḳhsh degā

ajab nahīñ hai ki marte dam bhī dil badal jaa.e aadmī

ye daur make-up aa gayā hai vo husn-e-sāda kahāñ mile ab

ki jis bas ik jhalak ko dekhe to dil machal jaa.e aadmī

fazā-e-masmū.m meñ saañs le kar koī jiyā bhī to kyā karegā

za.iif hone se qabl jab shabāb Dhal jaa.e aadmī

na itnī āsān shā.irī ho ki jis mafhūm na nikle

na itnī mushkil ki jis ko sun kar zehn pighal jaa.e aadmī

ye zindagī 'ḳhvāh-maḳhvāh' itnī azāb-e-jāñ aur tavīl bhī hai

agar na hoñ mahfileñ hañsī to dam nikal jaa.e aadmī

gham-e-musalsal ki is tapish mein ki jism jal jae aadmi ka

hansi ki halki phuwar bhi ho to kaam chal jae aadmi ka

maze ki gar zara bhi his hai na hansi ko aur qahqahe ko chhoDo

chaman mein gar phul muskura de to dil bahal jae aadmi ka

musibaton ka muqabla jo hamesha hanste hue karega

jo waqt-e-mushkil hai aane wala to wo bhi Tal jae aadmi ka

kisi ko girne se Tokna mat durusht lahje mein yaad rakho

tabassum-amez ho nasihat qadam sanbhal jae aadmi ka

zamana achchha guzar gaya to ye din bure bhi nahin rahenge

na ho agar ye qarib paiham to dam nikal jae aadmi ka

gunahgaron aur aasiyon ko azab-e-dozaKH se waizo tum

Darao be-shak magar na itna ki dil dahal jae aadmi ka

ibaadaton ke muawze mein milegi jo aabidon ko jannat

tum us ka naqsha kuchh aisa khincho ki dil phisal jae aadmi ka

naza se pahle kare jo tauba wo apni rahmat se baKHsh dega

ajab nahin hai ki marte dam bhi dil badal jae aadmi ka

ye daur make-up ka aa gaya hai wo husn-e-sada kahan mile ab

ki jis ki bas ek jhalak ko dekhe to dil machal jae aadmi ka

faza-e-masmum mein sans le kar koi jiya bhi to kya karega

zaif hone se qabl hi jab shabab Dhal jae aadmi ka

na itni aasan shairi ho ki jis ka mafhum hi na nikle

na itni mushkil ki jis ko sun kar zehn pighal jae aadmi ka

ye zindagi 'KHwah-maKHwah' itni azab-e-jaan aur tawil bhi hai

agar na hon mahfilen hansi ki to dam nikal jae aadmi ka

Source :

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now